Friday, January 29, 2016

ashaar


Liye phirte hain ghatri kaanton ki apne kandhe

Aur duniya ko dete hain hum muskaan kaliyun ki

 

Jo achcha hai usay achcha hi kehne mein bhalaayee hai

Magar Jo hai bura, bura kehne mein usko,  buraayee hai

 

 

Kaheinge wohi baat jo apni samajh mein ho

Kareinge wohi kaam  jo hum ko  lage achcha

 

 

Chal jee le is duniya mein ab aur kya rakha

Kyun hota hai is baat se tu hakka bakka

 

Kahan wo maazi  ke zamaane  kahan ye daur aaj ka

Na adab hai na saleeqa na wo tehzeeb o tamaddun

 
 

Thi yeh duniya ki fiza paak har ek cheez thi ujli

Apne  aaraam ki khaatir ise ganda kiya hum ne

 

Thi jab fursat to ganwa diya chup reh ke waqt apna

Ab waqt nahin milta ke unse hum hum kalam ho lein.

ek aur


Kai baatein hain jo reh jaati hain dil mein dab ke

Kahan har khwaab ko dekha hai haqeeqat bante

Kai khwahishein dafan hoteen kafan mein lipte

Har tammana ko bhi dekha hai kab pura hote

Kai armaano ka nikal jaata hai dam sisakte sisakte

Hasratein bhi rah jaati hain haath ko malte malte
 

Yeh kab huwa hai jo hoga kisi bande ke liye  

Hiras karta hai , shukr karta nahin jo usko mile

 

choti nazm


Na wo noor hai ab nigah mein

Na hi shakl mein koi hai kashish

Na zubaan mein rahi chaashni

Na goyaayee mein ab wo baat hai

Na qadam badhte hain tez tez

Na baazuon mein ab wo jaan hai

Na azaad hai ab zehan mera

Na hi dil mein be khaufi rahi

 

Na raha jab apna hi apne saath

To phir ghairon ka kyun saath ho

 

ashar



Raakh ne kaha suraj se  

Tere meri fitrat hai ek lekin qismat hai juda.
Tu bada aag ka gola main zarra hoon bujha

Suraj bola 

Duniya se jo dekho,  mein lagta hoon bada
Kayenaat  ke aage lagoon , daanaa sa pada  


Ho jaaon main masroof koi waqt na ho khaali
Phir  bekal na ho tabiat,  aur koi yaad na aaye 
 

Tandrusti ka yeh aalam hai dard hota hai nas nas mein
Tawaanaayee khoyee hai , yeh laut aaye lage mushkil

Hai dosti mein rasm, sab khata hain maaf
Doston ko bura kehne ki adat tu chor de

Hum likhein khat roz unhein yeh hukm kiya hai saadir.
Jawab ka shikwa kyun kar ho,  hum jo thahray saabir


Liye kheenchte phirte hain anjaan zindagi
Hum jaante hain kya hai anjaam e zindagi


Yehi pal hain ke hum 2 - 4* se do chaar*  hon                 * 2(do) - 4(chaar)   …* do chaar (milna)

Kal ka kya pata kya khabar kab laachaar hon

 

Ashaar


Nikal jaate hain jo pal , ’ kal’  wo ban ke yaad aate hain
Guzare waqt ka aana,  kahan  mumkin  hai  mere yaar


Rozi roti ne banaayee apno se doori
Na jaane ye zaroorat thi ya majboori
 

Meri fitrat mein hai behakna aur badalna  
Teri qudrat hi hai jo sambhaale hai mujhe 
 

Kabhi khushiyan kabhi gham hain hai kaifiat kabhi kuch aur
Yeh duniya hai ,nahin Jannat jahan khushiyun ka hoga daur


Haath badhte nahin ab likhne ko,  thakan ho gayee itni
Dhundhlaayee hain ye aankhein , budhaapa jo aa gaya
 

Main bana loon,  ja ke wahin ghar apna
Mile mujhe jo kahin , ek jegah thandi si  

Chaahe koi mahinaa ho garam chale hawa
Kis ki khata ka yeh asar Mumbai mein huwa 

Ajab si kaifiat mein mubtala ho jaate hum us waqt
Ke taareef ho Javed ki aur sunna Shaukat ko pade
 
 

POEM


Rupiyon ko Rishton se jab bartar dekha
Ajeeb sawaalat ubharte hain khayaalon mein kaheen
 
Kahan le kar chali hum ko yeh laalach aur hawas
Baap ka Bete pe bharosa na Bhai ka Bhai pe yaqeen
 
Aaj ki Duniya to waise hai Aalimon ka jehan
Har aira ghaira bana phirta hai yehan pe Zaheen
 
Sab ne padh likh liya par hai tarbiat ki kamee
Yehi ek baat qaabil ghor hai, hai bahut sangeen                           sangeen = serious
 
Yeh daud aisi lagi hai jo ab ruke na kabhi
Har ek soche hai apni , kaheen khuloos nahin
 
Na jaane hoga kya aage jab ab yeh aalam hai 
Insaan milenge nahin, dhoonde gi jab ye zameen

ASHAR


Jahal ke agar aankh pe jaahalat ka ho naqaab
In  halaat  mein to phir  aayega Allah ka azaab
Dikhaata hai  kai shakal mein woh naarazgi apni
Kabhi  zalzale, toofaan   aur barsa ke kabhi aab

----x--

Dil ki kaifiat hai kuch aisi , ke zard rehta hai
Zamaane ka kya,  abd se be-dard rehta hai
Jab yeh jaante hain hum to , kyun phir bhi
Jaane kis baat se seene mein dard rehta hai

---x---

Guzarta waqt le jaata hai hum se cheen kar apne
Koi bhi pal nahin aisa,  judaayee se jo khaali ho

----x---

Jab doston ki hon sohbatein aur haath mein hon chaar din
To sab se honge bhale wo din aur baaqi honge bekaar din

---x--

Saari umar ko sehte rahe dete rahe jo ghum
Karte hain phir yaad usay is qadar kyun hum

---x---


Jaane kaise nazam mein dhal jaati hai tehreer meri
Kahan kahan se alfaaz ubhar aate hain khuda jaane

 

Saturday, January 16, 2016

ASHAAR


Hona hai sabhi ka yehi anjaam ek din
Milna hai sabhi zindagi ko is se ek din
Aati  hai anjaam pe  magar hai ibtida
Ahmiat na hoti zindagi ki Maut ke bin


Kahan milte hain wo log jo tujh ko samajh sake’n
Samjhota kiye baithe hain hum haalaat ke aagay


Kahan fursat kisi ko,   jo haal bhi pooche tera ruk ke
Gaya zamaana wo jab log , hamdard huwa karte thay


Hota nahin hai kuch bhi , jamaa kharch ab hum se
Bazaar mein cheezon ke dekhe daam jo hum ne


Na leta hai khabar koi , zamana hai  magan itna
Yeh aaya daur hai kaisa, ye boya kis ne hai fitna
Kahan fusat koi pooche khabr tu kyun nahin leta
Sunein shikwa to lagta hai koi hamdard  hai apna
 
 

Jo karta hai khuda is ka sabab wo khud hi jaane hai.
Gunahgaar bande hum, kya samjhein hum kya bolein
 

Amal insaanon ka , ab aaj jaisa hai wo sab jaanein
Hamein to kehna hai itna jo tu karta hai bar haq hai

ASHAAR


Ban’na hai agar nek to sangat bhi nek ho
Sohbat  se hi  banti  hai  seerat bhali buri


Log hote hain pareshan agar karte hain koyi kaam
Hum ko hai yeh mushkil ke chutti mein kya karein


Itla agar utla ki na ki to hai  itla ki guzaarish
Itla na mile utla ki to farz  e itla nahin hota


Pareshaan hain , abas mohtaaj hain sab
Mashinon ke aage hain hum aaj be bas


Diwaangi  hoti   hai  khalal   dimaagh  ka
Dil ko yun hi logon ne badnaam kiya hai

 

Moonh ghubaara lagta hai gar wo naraaz hon
Hum jo hanse to poochte hain is ka  hai sabab kya

Dedicated to the families of our shaheed Jawans


Yeh udas udas se zakhm Dil ke

Yeh ranj o gham se bojhal palkein

Liye baithe hain Dard ko  go'd  mein

Yeh Haal hai  Shaheedon ke ghar ke

 

Yeh sookhe dil se nikalti duaaein

Yeh bheege palkon se takti nigahein

Kisi ke namudaar hone ki liye aas

Yeh bas reh jaate hain liye aahein

 

Yeh muntazir  vaadon ke wafa hone ka

Yeh sehte hain sitam in se jafa hone ka

Ummeedon ka dher liye aankhon mein

Yeh nahin jaante sabab khafa hone ka

 

Yeh jo dete hain desh ko socho Kya hai

Yeh Jo lete hain desh se dekho Kya hai

Jaan ki qeemat  kya lagaayein tum kaho

Yeh Jo paate hain dil se poocho Kya hai

 

Sukun milta tha jin se ab wo, kahan milte hain
Murjha chuke hain phool jo, kahan khilte hain
 

Hai MAAZI  ek phata tukda jo judta nahin hai
Bheega hai  yeh aansoo  se ab udta nahin hai
 

Khuda ka shukr hai payee samajh aisi ke hum samjhe
Warna baat teri hoti hai mushkil, zamana kum samjhe


Yek tarfa hai yeh raah , achche din jahan se guzre
Bula ke dekh lo ye wo waqt hai jo mudta nahin hai

Gham aa ke hain behkaate uthaata hoon jab qalam
Liye baitha hoon yeh naama mukammal nahin hota
 
Bahut kaam tha karna baaqi , hote hote huwa hai
Sab Allah ka  karam hai huzoor  aur aap ki  dua hai
Ajab hum log hain abad se, yeh kehta hoon main adab se
Hain  aapas  mein  bhai bhai ,hum sabhi  hain  ek nasab se
Mehmaan hain yehan pe hum hain duniya mein musafir
Phir nafratein hain kyun , kyun dushmani hai be sabab se
 

POEM

 

Dikha ke dhaar ABR ki wo boond boond ruk gaye
Yeh kya tha ke kuch  hi pal  baras ke wo ruk gaye 

Dooba tha dil  apna  ghamon ki  ladaaayee mein
Yaad nahin kitni khusiyan aaein,  kitne dukh gaye 

Unhein meri  justaju mein kai khaamiyaan miliein
Ghuroor ka hai anjaam bura , yeh  soch jhuk gaye  

Ghurbat ke aalam mein chadha , ishq ka bukhaar
Is rog mein  kya janein,  kai Umraa   phuk gaye 

Duniya  ki  talkhiyun  se  hamein   pukhtagi mili
Hum yaad  nahi karte wo pal, jo de ke sukh gaye

ASHAAR


Khairkhwah bahut hain duniya mein magar
Dard  jis ko hai hota yehan , wohi  sehta hai
---x---

Liye baithe thay tanhaayee ka gham tanha hum
Hum se wo milne jo aaye to khushi hum ko mili

---x---

mumkin hai ,ho jaoon mein gumnam kahin
Mere  wajood ka daira  bahut hi  chota hai

----X---


Masrufiat ke jaal mein ab, huwee hai qaid yeh hasti
Bhulaaye baithe hain fursat ki wo susti aur wo masti
Khoye hain bachpan ke suhaane  din kahin main ne
Kahan milni mujhe  , maidaan galiyaan aur wo  basti
----X---
 
Un ka waada tha ke wo aayeinge shab ke dhalne tak
Dekh ke muntazir mein raha aankh ke band hone tak
----X---


Tab sooche gein kuch ,jab fursat milegi  
Ab soojhe nahin kuch , hain masroof itne

KUCH AUR ASHAAR


Waqt ko kya huwa ab , yeh kyun badhta nahin aage
Kisi ne raah mein pal  ki , kahin rodhe bichaaye hain
 
 
Noor nazar  aayega,  yeh  chaand sa tera  chehra
Apne chehre ko kabhi meri nigaahon se to dekh.


Allah ki nemat mere atraaf hain phal  phool aur kaliyan
Mujhe  basaaya  hai usne Pahaad o Darya ke darmiyan
Jahan ki  khushbu se mehke hai  fiza  aur baad e saba
To kyun na hon mujhe pyaari yehan ki raahein aur galiyan
 
Aa jaate hain behkaane ,  uthaata  hoon  jab  qalam
Liye baitha  hoon yeh Naama mukammal nahin hota
Koi ab hai , koi kal na ho , koi kal tha,  koi ab nahin
Isi  qanoon- e- qudarat  pe insaan ko qudrat nahin
 
Karein kaise shikayat hum zamaane ke badlne ki
Jab hona hai fana sab ko, badalna bhi  zaroori hai
 
 
Kab ke mar jaate Faraayez agar deta na Khuda
Yeh rukaavat hai , ke  jis se abhi dam baaqi hai
Aaj ke din ka  mere  dost  yehi  matlab hai
Aapas ki jung tabah kun hai be matlab hai
Chay dahaayee ne yehi baat samjhaayee hai
Ab bhula ke dushmani,  bhaichargi ki talab hai

ASHAAR


Tu khaliq hai tu rakhwaala,  saari  makhlooq ka aye Allah  
Tere wajood ke qaayel hum, reham hum par mere Allah
 
Kuch khote hain kuch paate hain yehi huzoor duniya hai.
Aise hi jeena padta hai , aur yehi dastoor- e duniya hai


Guzre thay kuch mahine par laga kai baras gaye
Phir se barasta dekhne paani ko bha’ee taras gaye
Hamein khabar na thi mausam mizaaj badle ga
Hum khwah mo khwah Des apne is baras gaye
 
Nahin maalum kahan jaa ke tu poshida huwa hai.
Hifz wo aman mein Allah ki rahe yeh  hi Dua hai


Yeh kya jegah hai jo bhaaye hai hamein is qadar
Yeh kya jegah hai jo bulaaye hai hamein is qadar
Lagta hai ke hum rehte hain,  is ke dil mein kahin
Yeh kya jegah hai jo basaaye hai hamein is qadar


Ghata ghanghor chaaron ore chaayee , par ek boond na tapki
Hum baithe  chaata liye takte rahe assamaan,  baandhe tik -tiki
Kabhi chat pe chadhe , ke  baadlon ko  nazdeek se  padh  lein
Ke shaayad ho chupi koi boond ,  gire   maarun jo mein thapki

ABDUL KALAM (EX PRESIDENT OF INDIA)


Bachpan mein baant ta wo akhbaar dar b dar

Milta nahin  tha  khaana ,  do waqt  ka pait bhar
 

Taaleem  ke  liye thi  yeh  sab us  ki  jad  o  jahad

Tha shauq us ko padhne ka bachpan se hi be hadd

 

College mein daakhle ke liye jab na thi raqam

Bahan ne sona baich ke poora kiya bharam
 

Wo shakhs  jis ka  daur e zamaana kal  aam tha
 
Bana wo Sadar Hind ka, naam uska Kalaam tha

ASHAAR


Mile jo waqt mujhe,  poori khwaahishein kar loon
Kahan se laaoon mein fursat jo mere kaam banein


Tere mukhtasar se khat aur  mere jaawaab taweel
Tu  le nuqte se  kaam  aur  lakeer  banaaye  Shakil


TUDIL ab jaayein bhi to kaise,   zid na kar tu dil
Honge  ruswa  abas  ,  rasaayee hai na rasoyee


Pareshaniyan  kyon khaana badosh nahin hotein
Jaane kahan se aati hain ghar karti hain sar mein 


Kya jatan karoon  ke mujh ko sukoon aaye
Koi nazar na aaye jahan tak nazar yeh jaaye
Reh jaaoon main tanha is jahan ki bheed mein
Na main kahin pe jaaoon na koi mujhe bulaaye


Apni do satron mein hum kaise karein duniya ki baat.
Mumkin kahan hai dariya ko laaye koi kooze mein ab


Kaisa yeh ek tarfa hai apne likhne ka amal.
Khat to likhte hain magar jawab na aayega kal
 
Allah taufweeq mujhe de ke tujh sa main banoo
Tu ne Duniya mein bhi jannat ki jegah paayee hai

Duniya ko jo dekho to na jeene ko jee chaahe
Dekhoon agar mein tum ko to jeena mujhe bhaaye

Har waqt teri tasveer nigahon mein rahi
Din guzarta hai ab aur na raat dhalti hai
Tera khayaal hamein sone nahin deta ab
Neend hum ko is haal mein kahan milti hai

 

Haseen



Kahan se le ke hai aaye ho ye  haseen chehra

Yeh be baaki adaaon mein aur fitrat bebehra

yeh khilkhilaati  hansi  aur khanak lafzon mein

yeh andaaz munfarid sa,  aur lehja thahra

 

yeh chandan sa badan zulfon ka rang sunehra 

Umadhti khushbu badan ki jaise baandha sehra

Kiya hai kitno ko pagal banaaye majnu kai

Milenge khaak chaante yeh  jangal aur sahra

 

Phool se jhadti baaton ka hota asar gehra

Sun ke mehzooz na ho  jo, woh thahra  behra

Kab ye hota hai  ke  shakal aur aqal  yek  ja ho

Rakhey ho  kai  khazaane rehte ho  be pehra

 

LOG AAJ KAL


Jaane kyun  aankhon mein kuch nami si hai

Logon ke dilon mein pyar ki kuch kami si hai

 

Kal talak thi  tez raftaar un ke aane jaane mein

Aaj yakayak ye aamad o raft kuch thami si hai

 

Thay pur khulus,  milte thay jo garam joshi se

unki mulaqaat ki garmi pe barf kuch jami si hai

 

Shikaayatein cheen leti hain khushiyaan hum se

Rehne de agar doston mein kuch berehmi si hai  

 

Ye reet hai jehan ki , ye zamaane  ka  chalan hai
 
Ye  Jaan  ke  sabr  huwa , kuch  khushfahmi  si  hai