Jahal ke agar aankh pe jaahalat ka ho naqaab
In halaat mein to phir aayega Allah ka
azaab
Dikhaata hai kai shakal mein woh naarazgi apni
Kabhi zalzale, toofaan aur barsa ke kabhi
aab
----x--
Dil ki kaifiat hai kuch aisi ,
ke zard rehta hai
Zamaane ka kya, abd se
be-dard rehta hai
Jab yeh jaante hain hum to ,
kyun phir bhi
Jaane
kis baat se seene mein dard rehta hai
---x---
Guzarta
waqt le jaata hai hum se cheen kar apne
Koi
bhi pal nahin aisa, judaayee se jo khaali ho
----x---
Jab doston ki hon sohbatein aur haath mein hon chaar din
To sab se honge bhale wo din aur baaqi honge bekaar din
---x--
Saari umar ko sehte rahe dete
rahe jo ghum
Karte hain phir yaad usay is
qadar kyun hum
---x---
Jaane kaise nazam mein dhal
jaati hai tehreer meri
Kahan kahan se alfaaz ubhar aate
hain khuda jaane
No comments:
Post a Comment