Khairkhwah bahut hain duniya mein magar
Dard jis ko hai hota yehan , wohi sehta hai
---x---
Liye baithe thay tanhaayee ka gham tanha hum
Hum se wo milne jo aaye to khushi hum ko mili
---x---
mumkin hai ,ho jaoon mein gumnam kahin
Mere wajood ka daira bahut hi chota hai
----X---
Masrufiat ke jaal mein ab, huwee hai qaid yeh hasti
Bhulaaye baithe hain fursat ki wo susti aur wo masti
Khoye hain bachpan ke suhaane din kahin main ne
Kahan milni mujhe , maidaan galiyaan aur wo basti
----X---
Un ka waada tha ke wo aayeinge shab ke dhalne tak
Dekh ke muntazir mein raha aankh ke band hone tak
----X---
Tab sooche gein kuch ,jab fursat milegi
Ab soojhe nahin kuch , hain masroof itne
No comments:
Post a Comment