Tu khaliq hai tu
rakhwaala, saari makhlooq ka aye Allah
Tere wajood ke qaayel hum, reham hum par mere Allah
Kuch khote hain kuch paate hain yehi huzoor duniya hai.
Aise hi jeena
padta hai , aur yehi dastoor- e duniya hai
Guzre thay kuch mahine par
laga kai baras gaye
Phir se barasta dekhne paani
ko bha’ee taras gaye
Hamein khabar na thi mausam mizaaj badle ga
Hum khwah mo khwah Des apne is baras gaye
Nahin maalum
kahan jaa ke tu poshida huwa hai.
Hifz wo aman mein
Allah ki rahe yeh hi Dua hai
Yeh kya jegah hai jo bhaaye hai hamein is qadar
Yeh kya jegah hai jo bulaaye hai hamein is qadar
Lagta hai ke hum rehte hain, is ke dil mein kahin
Yeh kya jegah hai jo basaaye hai hamein is qadar
Ghata ghanghor chaaron ore chaayee , par ek boond na tapki
Hum baithe chaata liye takte rahe assamaan, baandhe
tik -tiki
Kabhi chat pe chadhe , ke baadlon ko nazdeek se
padh lein
Ke shaayad ho chupi koi boond , gire maarun jo
mein thapki
No comments:
Post a Comment