Na wo noor hai ab nigah mein
Na hi shakl mein koi hai kashish
Na zubaan mein rahi chaashni
Na goyaayee mein ab wo baat hai
Na
qadam badhte hain tez tez
Na baazuon mein ab wo jaan hai
Na azaad hai ab zehan mera
Na
hi dil mein be khaufi rahi
Na
raha jab apna hi apne saath
To phir ghairon ka kyun saath ho
No comments:
Post a Comment