Friday, October 8, 2021

Aaj - part 2

Socha na tha keh  kabhi aayegi aisi bhi ghadi 

Honge majboor aise ,hongi deewarein khadi


Beh raha hai har pal waqt ka ek naya bojh liye 

Kya karun  kaise karun  aisi  hi  kuch  soch liye 


Tabdeeliyaan kuch aisi liye baitha hai zamaana ye

Hamaari  majbooriyuon ko samjhe hai bahaana ye


Khilkhilaate chehre sab udaas udaas rehne lage

Gungunaate hont jo thay ab  uff uff kehne lage 


Qatra qatra aansoo behte hain ab  aankhon se 

Siskiyaan  milkar  ke  nikalti hain ab  saanson se 


Aaj

Aankhon mein aansu laana bhi mana hai 

Mayyat ko ja ghusl dilaana bhi mana hai

Aye gham gusaar tifli ab ye ghum hai mujhko 

Luti  huwi kushiyun ko paana bhi mana hai 


Khoya  huwa  waqar   dilaana bhi mana hai 

Soye  huwe zameer  jagaana bhi mana hai 

Ye jin haalaat se guzar rahi hai zindagi apni 

Un haalat ka logo  ko bataana bhi mana hai 


Mehmaan nawazi pe bulaana bhi amana hai 

Mil baith ke do chasr ka khaana bhi mana hai 

 Aisa bhi kabhi  waqt yeh na dekha tha kisi ne 

Achcha bura hai kya ye samjhana bhi mana hai 



Bigde  ko sahi raah dikaana bhi mana hai 

Un ki kartooton pe dil ko jalaana bhi mana hai

Ek do ka zikr kya Saara zamaana hi  hai bura 

Kisi ki jaanib ungli uthaana bhi  mana hai 


kuch baatein Nasr ki shakl mein

 Pareshaan kar dete hain ye Umr ke aakhri daur ke kuch lamhe 

Jin mein sochne ko achcha kum aur bura ziyada hisse mein aata hai

Is waqt kuch samajh nahin aata kyunki kuch karne ka dum kahan rehta hai

Bebasi ka urooj rehta hai aur dil ko maarna hi iska hul nazar aata hai

Dimaagh maaoof ho chukka hota hai yaadaasht khatam ho jaati hai

Nazrein jo doorandesh huwa karti thein ab inse nazdeek ka bhi dikhaayee nahin deta hai

Wo wajud jis pe kai log munahsir rehte thay aaj mohtaaj nazar aata hai

Munh se qahqahay gum ho kar aahon ki awaazein aati hai 

Zindagi buri lagti hai phir bhi zidagi ki dua ki jaati hai 

Kya hoga agar kuch aur din jeene ko milein

Yahi haalat raheinge ya is se bhi badtar ho jaayenge 

Is liye apni Jawaani mein hi itna kuch kar lo ke budhaapa sukoon se guzre 

Zindagi ke Jawaan dino mein josh hosh jazba mehanat aur khub dil laga ke kaam karo

Nafs pe qaabu rakho buri sohbaton se bacho waqt na zaaye kiya karo.


Saturday, September 11, 2021

poem


Jhilmilaate shab o roz,umr ki baandi ho gaye 

Jhonke saba ke kyun   ba misl e aandhi ho gaye 

Umr ke akhri daur ke in lamhon mein kyun 

Fursat ka jab aaya waqt baal chaandi ho gaye


Guzr gayee zindagi kaandhon pe bojh liye

Apne Aziz o Aqaarib ki khushiyon ki khoj liye 

Waqt diya na zindagi ne sambhalne ke liye

Bas preshaan sa aqas apna  phirte rahe roz liye 


Dabaayee khwahishein,  kiye kai armaan qatl 

Sahi dooriyaan karte rahe harkat o naql 

Chun liye faraaiz jo thay na haq mein kabhi

Ki qurbaaniyaan aisi ke dang reh jaaye aql 


Kia jo kuch bhi  , thi us ki  zaroorat bohut 

Huway surkh ru   , sang thi qudrat bohut 

Zindagi guzar jaane ka ghum kyun karein 

Intezaar mein baithi hai Jannat bohut





Wednesday, August 25, 2021

POEM

Talkhiyun ke saaye mein sadaaqatein bhi panaah leti hain 

Dard ke maqaam mein raahatein bhi jegah leti hain 

Ye nizaam e qudarat hai na waqt na mausam rahein yaksaan 

Aziaton ki lehrein saath chaahatein bhi bahaa leti hain 


Nafraton ke is jahaan mein mohabattein bhi saza leti hain 

Aur mohabbat ke badle aksar nafratein bhi basa leti hain 

Apne amal ke silay ki tu ummeed na kar zamaane se 

Nekiyaan nuqsaan ki qeematein bhi chuka leti hain 



Zindagi na shukri ban kar Nematein bhi ganwa leti hain 

Khwahishein kya kum hon hasratein bhi badha leti hain 

Laalach ke aage sabhi be bas hain is daur mein 

Ye faaslon ke dard de kar qurbatein bhi chura leti hain 


Kis ko samjhaoge ye nasl sohbatein bhi bura leti hain 

Diwaangi ke aalam mein hidayatein bhi daba leti hain 

Ajab sa tamaasha ban kar reh gaya hai ye daur 

Jawaani aaj kal burzurg ki nasihatein bhi kahan leti hain 


Ghazal

 Mere saaye kabhi tujh se na  paray honge 

 Hawa ke jhonke meri awaz se bharay honge

 

 Fizaa moattar rahegi hamesha khushbu se meri

 

Tere  chaman ke hamesha shajr haray honge

 

 

Meri yaadon se tasawur tera mehkta hoga

 

Aur meri baaton se hardam chahekta hoga

 

 Palkein jab band hongi to dekho gi mujhe

 

Hosh mein ho ke bhi aalam ye behakta hoga 

 

 

Tere dil mein rahunga teri dhadkan ban kar

 

Ankhon mein basunga  tera  sapna ban kar

 

Tere safar mein tera humsafar na ho kar bhi

 

Tere Wajood mein rahunga mein tera ban kar

 

 

Jazbaat hain jazba hai to kya jaan ki parwah

 

Sitam chaahe jitna yeh zamaana karay barpa

 

 Sab mushkilein hongi aasaan tu  fikar na  kar

 

Qudrat hai tere saath us ka wajood hai har ja

POEM

Khidmat e khalq se apni kai istifaada huway

Kum ki koshish phir bhi ziyaada huway 

Jab bhi apne liye hum ne socha kabhi 

Khyalaat khudkushi pe aamaada huway 


Badshah na bane hum piyaada huway

Na dikhaawa kia sab hi saada huway 

Daulat wohi jo baantein dunia ko hum

Hamaare kaam hasb e iraada huway 


Mahal dhaa ke saare buraada huway 

Taareekh ka hissa kai shahzaada huway 

Fana ‘a ek din hoti hain Taqatein

Ye kahaawat bhi ab aazmooda huway 


Is zamaane ke Nar sab Maada bhuway

Dil na sambhla sabhi Dildada huway 

Qaid hain ab ishq wishq ke jaal mein 

Wo Bhai Beta ya phir Baap Dada huway 


Gham e ishq mein mar ke Aadha huway

Pehan kar Majnoon ka lIbaada huway

Kaam ke thay kabhi ab hain faqat naam ke

Jab se Laila ki surat ke shyda huway 


POEM

Kitne mushkil ke thay din jab yehan aaya

Na socha kabhi ye ke main kahan aaya 

Jis se milta, lagta ye hai apne jaisa 

Chod ke apna jehan jab is jehan aaya 


Liye kai khwaab aankhon mein din bitaata raha

Himmat na haarna kabhi khud ko jataata raha

Thay pareshan bahut rehti uljhanein thien kai 

Hum yehan khush hain apne ghar bataata raha


Din pahaad sa lagta tha ghar jab yaad aata

Aisa pal aksar har ek lamhe ke baad aata 

Kaate nahin kat’ta , waqt ye sakht hota tha 

Muqaabla aisa hota jaise koi Jehaad aata 



Suna tha ghum ka khu-gar hai to mit jaata hai ghum

To phir kyun aahein bhare rakhe kyun aankhein num 

Ghont’ta raha ghumon ka gala aur kabhi gila na kia 

Basar karte rahe is tarah se Din Mahine aur Saal hum 



Khuli rakhi thi jo kitaab ab wo band kardo

Apnee azaad ravish ko ab paaband kardo 

Bhale hi kaam tumhaare abhi adhure hon 

Apne saare tajurbaat qalamband kardo



POEM

 Dikha ke dhaar ABR ki wo boond boond ruk gaye

Yeh kya tha ke kuch hi pal baras ke wo ruk gaye 


Dooba tha dil apna ghamon ki ladaayee mein

Yaad nahin kitni khusiyan aaein, kitne dukh gaye 


Unhein meri justaju mein kai khaamiyaan miliein

Ghuroor ka hai anjaam bura , yeh soch jhuk gaye 


Ghurbat ke aalam mein chadha , ishq ka bukhaar

Is rog mein kya janein, kai Umraa phuk gaye 


Duniya ki talkhiyun se hamein pukhtagi mili

Hum yaad nahi karte wo pal, jo de ke sukh gaye


ACHCHE ASHAAR KA MURABBA

 MUSHKIL DAUR MEIN AB KAISE MAIN AARAAM KARUN 

TALKH SUBAH KO KAISE MAIN NARM SHAAM KARUN 


JEE MAIN AATA HAI KE BAS KAAM YE DIN RAAT KARUN

TUM KO DEKHUN MAIN FAQT AUR TUM SE BAAT KARUN 


TERI ULFAT MEIN KAI KAAM  BEMISAAL KARUN  

KUCH MAIN AISA KARUN KE BAS KAMAAL KARUN 


TOOFAN MEIN KASHTI KA SAAMAAN MEIN KARUN

FAANOOS BAN KE TERI HIFAZAT BHI MAIN KARUN


ALLAH MADADGAAR HAI TO KYUN FIKR KIYA KARUN 

MUDAEE  LAKH  BURA CHAAHE PHIR  BHI JIYA KARUN 


JEE LE ZARA

 MUSHKIL RAAHON SE

GHAMON SE AAHON SE

MUKTI MILEGI ZAROOR 


JEE LE ZARA


FIKR KI KYA BAAT HAI

GAR KAALI  RAAT HAI

RAAT KI HOTI SAHOOR


JEE LE ZARA


AAJ SURAJ DOOBA HAI

HOTA ROZ AJOOBA HAI

SURAJ  HOGA ZAHOOR


JEE LE ZARA


BHOOL JA JO HUWA

DENA LENA BAS DUA

BAS RAHO MASHKOOR


JEE LE ZARA 


KISI NE JO KIYA BURA

HAQ TERA LIYA CHURA

REH UNSE TU DOOR


JEE LE ZARA 


PYAR SE NAFRAT  JEET

AMAR REHTI HAI  PREET

MAANG BHAR LE SINDOOR


JEE LE ZARA


ZINDAGI  ZIDAGI SE MILE

PHOOL KHUSHIYUN KE KHILE

BHAR  JEEVAN MEIN NOOR


JEE LE ZARA 


LIVE THE LIFE

 MAUJON MEIN MASTI MEIN

PAAGLON KI BASTI MEIN

ZINDAGI KA KYA HAI

YE BEHTA DARYA HAI

JO AAJ YEHAN HAI

WO KAL KAHAN HAI

MAUSAM BADALNE DO

GHAM KO PIGHALNE DO

HAR PAL KO JEE LE TU

AASUON KO PEE LE TU

DIL KO BEHLAA KAR PHIR

APNA BANA KAR PHIR

JHOOM KE GAAYE JA

MAUJ MANAAYE JA 

BAAT MAAN JO KAHI

ZARA DER KO HI SAHI

DUNIYA BASAA LE TU

GHAR KO SAJA LE TU 


RAP STYLE

 SUN JO MAIN KEHTA HOON

MUMBAI MEIN REHTA HOON

SHAHAR YE BADHIA HAI

SONE KI CHIDIA HAI

SHRU MEIN GANWAATA HAI

BAAD MEIN KAMAATA HAI

ITNA YEH DETA HAI

JITNA TU CHAHTA HAI

 JO FILM INDSUTRY HAI

WO AMZING  MYSTRY HAI

AKKHE HINDUSTAN SE

KUCH TO PAKISTAN SE

SAB YEHAN AATE HAIN

QISMAT AAZMAATE HAIN

QISMAT JAB KHULTI HAI

SHOHRAT JAB MILTI HAI

JEENA PHIR BHAATA HAI

YUSUF, DILIP BAN JAATA HAI

DOOSRE SE JALNA NAHIN

BURE KAAM KARNA NAHIN

MUQADDAR TUJHKO LAAYA HAI

JIS KAAM KO TU AAYA HAI

USKO BAS NIBHAANA HAI

PHIR DUNIA SE JAANA HAI


ZINDAGI - AZAD BAHAR MEIN

 ZINDAGI TUJHE CHKHA HAI MAIN NE

DO ZAAEQON KO MILA KAR KE BANAAYA HAI TUJHE

EK MEETHA  AUR DOOSRA KADWA SA LAGAY 

JAB MILTA HAI HAMEIN MEETHA SA TERA HISSA

SHRU KE DAS SAAL KA YEH WAQT HOTA HAI 

JEE CHAHTA HAI YEH KABHI KHATAM  NA HO

PAR ACHCHI CHEEZON KI TARAH JALD KHATAM HOTA HAI 

ISKI MITHAAS BHI ZUBAAN PE PHIR NAHIN REHTI

IS KE BAAD JO MILTA HAI TERA BAAQI HISSA

YEH  BHARPUR KADWAAHAT SE BHARA HOTA HAI

JO KE CHAAHANE PAR BHI MEETHA NAHIN HOTA

KOSHISHEIN SAB TARAH KI LOG KAREIN

YE DAUR KOSHISHON KA CHALTA REHTA HAI

KADWAHAT KISI NA KISI SIMT SE SHAAMIL HOTI REHTI HAI 

JEETE HAIN HUM PHIR JITNE SAAL TUJHE

YE KADWAAHAT SADA SAATH LAGI REHTI HAI 

ZINDAGI TUJH KO BANAAYA HAI KHATAM HONE KO

TU YEH KADWAAHAT LIYE HI PHIR KHATAM HOTI HAI 


Saturday, July 24, 2021

Arz hai

Teri baatien jhonke  e khushgawar ki manind 

Palkein khulein  jhukein teri lail o nihaar ki manind 

Muskuraahat teri gham mera bhula deti hai 

Mera wajood ban jaata hai ghamkhwaar ki manind 


Khizaan pe chaaye  haryali jaise bahaar ki manind 

Tu mujh ko lagti hai  achchi gul o gulzaar ki manind 

Mere har dukh ka madaawa kare wajood tera

 Aam sa din bhi lage mujhe koi tehwaar ki manind 


Muhabbat mein pada hoon mein teri  beemar ki manind 

Tere aane se milta hai sukoon teemaar ki manind 

Milne pe hai lagi pabadniyaan kyun is qadar apne 

Samjhdaar ho kar bhi karein sulook log ganwaar ki manind 


Zamaana lafzon se kare waar talwaar ki manind 

Khadi kar rakhi hain mushkilein deewar ki manind 

Azal se hota  chala aa raha hai yeh zulm inka 

Gale lagaaye phirte hain nafratein pyaar ki manind 



Thursday, July 8, 2021

poem

Kitne mushkil ke thay din jab yehan aaya

Na socha kabhi ye ke main kahan aaya 

Jis se milta,  lagta ye Ajnabi hai koi 

Chod ke apna jehan jab is jehan aaya 


Liye kai khwaab aankhon mein din bitaata raha

Himmat na haarna kabhi khud ko  jataata raha

Thay pareshan bahut rehti uljhanein thien kai 

Hum yehan khush hain apne ghar  bataata raha


Din pahaad sa lagta hai ghar jab yaad aata

Aisa  pal aksar har ek lamhe ke baad aata 

Kaate nahin kat’ta ,  waqt ye sakht hota hai  

Muqaabla aisa hota   jaise koi Jehaad aata 



Suna  tha ghum ka khu-gar hai to mit jaata hai ghum

To phir kyun aahein bhare rakhe kyun aankhein num 

Ghont’ta  raha  gala ghamon ka aur  kabhi gila na kia 

Basar karte rahe is tarah se Din Mahine aur Saal hum 


-

Khuli rakhi thi jo kitaab ab wo band kardo

Apnee azaad ravish ko ab paaband kardo 

Bhale hi kaam tumhaare abhi adhure  hon 

Apne saare tajurbaat   qalamband kardo


Saturday, June 19, 2021

Ghazal

 Mere saaye kabhi tujh se na  paray honge

Hawa ke jhonke meri awaz se bharay honge 

 Fizaa moattar rahegi hamesha khushbu se meri

 

Tere  chaman ke hamesha shajr haray honge

 

 

Meri yaadon se tasawur tera mehkta hoga

 

Aur meri baaton se hardam chahekta hoga

 

 Palkein jab band hongi to dekho gi mujhe

 

Hosh mein ho ke bhi aalam ye behakta hoga 

 

 

Tere dil mein rahunga teri dhadkan ban kar

 

Ankhon mein basunga  tera  sapna ban kar

 

Tere safar mein tera humsafar na ho kar bhi

 

Tere Wajood mein rahunga mein tera ban kar

 

 

Jazbaat hain jazba hai to kya jaan ki parwah

 

Sitam chaahe jitna yeh zamaana karay barpa

 

 Sab mushkilein hongi aasaan tu  fikar na  kar

 

Qudrat hai tere saath us ka wajood hai har ja

Jahan Jahaa'n se aasmaan tak dua chale 
 Khushbuon se moattar jehan hawa chale 
 Sab jaante hain maqaam mere Aaqa SAS ka 
Hum us dayaar se gham apna sab bhula chale -------------------------------------------------x-----------------------------
 Waaqifkaar katra ke nikle na nazar milai na kalam kiya
 Haalaat zindagi aise badle na hadaab kaha na salam kiya 
 Har ek banda apna soche na malik bane na ghulam kiya 
 Darr hai ab sab ke dil mein na ehtijaj koi na kohraam kiya
 Jurm pe hain sab khamosh na naam huwa na badnaam kiya 
 Dua dawa sab de kar dekhi na umidi mili naa- kaam kiya
 Jurm o gunah pe munsif chup sab ko faarigh e lzaam kiya
 Kashqa khincha dai'r mien baitha kab ka tarak imaan kiya?

HAQ

Jis Raah e haq pe chala hai tu
 Kaantay biche honge har su 
Dunia mein manzil ko talash na kar 
 Abas hi kare tu is ki justaju 
 Neki wo jo silay ke bina ho 
 Amal wo,khuda ko ho pasand jo 
 Tu jaane hai ke ye zaaye na hogi 
 Shaamil hongi tere haq mein sab wo 
 Maana zamaana ajal se bura hai 
 Yehan har ek buraayee se juda hai 
 Achche buray sab ka yeh amal hai 
 Lab pe muskaan baghal mein chura hai 
 Kabhi qismat bhi apni yun 
khilegi Ke manzil hanste hanste aa milegi 
 Jab ye socha androon ne sadaa di 
 Khuda ke paas se sab ko dilegi

Wednesday, March 17, 2021

Azad bahar mein

 Khulus milta nahin dhoonday se ab is Dunia mein 

Ye band pada hai kitaabon mein kisi almaari mein 

Jo ab khulegi nahin chaahey amal jo kar lo 

Phir is qaid se jhanke ga yeh  bahar kaise 

Is ghutan mein to ghut ghut ke mar hi jaayega

Badla huwa ye daur hai har daur ki tarah 

Ye daur to jaane hai khulus ka matlab 

Ye aur baat hai hota nahin hai iska amal 

Lekin ab iske baad jo daur aayega naya 

Wo lafz ‘khulus‘ ko  sunkar na samajh paayega 

Kitaabein banegi us daur mein deemak ki ghiza 

Khulus lafz phir padhne mein bhi na aa paayega 

Phir ye na ada hoga ,kaha hoga na padha hoga kabhi 

Ye wo daur hoga ke jab har aadmi , aadmi hoga 


Wednesday, January 20, 2021

Zamana aaj kal

Talkhiyun ke saaye mein sadaaqatein bhi panaah leti hain 

Dard ke maqaam mein raahatein bhi jegah leti hain 

Ye nizaam e qudarat hai na waqt na mausam rhein yaksaan 

Aziyaton ki lehrein saath  chaahatein bhi  bahaa leti hain 


Nafraton ke is  jahaan mein mohabattein bhi saza leti hain 

Aur mohabbat ke badle  aksar nafratein bhi basa let hain

Apne amal ke silay ki tu ummeed na kar zamaane se 

Nekiyaan nuqsaan ki aksar qeematein bhi chuka leti hain 


Zindagi na shukri ban kar Nematein bhi ganwa leti hain 

Khwahishein kya kum hon hasratein bhi badha leti hain 

Laalach ke aage sabhi be bas hain is daur e jadeed mein 

Ye faaslon ke dard de kar qurbatein bhi chura leti hain 


Kis  ko samjhaaoge  ye nasl  sohbatein  bhi bura leti hain 

Diwaangi ke aalam mein hidayatein bhi daba leti hain 

Ajab sa tamaasha ban kar reh gaya hai ye zamana logo

Jawaani aaj kal burzurg ki nasihatein bhi kahan leti hain 


Tuesday, January 19, 2021

Rishta

Dard ka dawa se rishta hai
Bhatke ka Huda se rishta hai
Dukhon ka hull hai Rab ke paas
Mushkilon ka Dua se rishta hai

Ba ‘dee ka waba se rishta hai
Ghusse ka bala se rishta hai
Kehne se pehle zaroor socho
Lafzon ka ada se rishta hai

Neki ka jazaa se rishta hai 
Gunah ka sazaa se rishta hai
Andheron se nikal ujaalay le 
Shaam ka Saba se rishta hai

Shab ka Shua se rishta hai 
Darya ka ruba se rishta hai 
Tu khud ko tanha na samajh
Bande ka khuda se rishta hai

Dunia ka fanaa se rishta hai 
Zindagi ka qaza se rishta hai
Akhirat soch ke qadam badha
iska jannat ki raah se rishta hai

Tuesday, January 5, 2021

Ashaar

Tanhayee ka milna to muqaddar hai ek din Saathi ho ya karvaan bichadta zaroor hai ----------------------xxx----------------------- Khushyan moyassar pal bhar ko Qabr tak gham hi saath jaata hai -----------------------xxx----------------------- Jaaniye is haqeeqat ko gharibon se tum Rehte hain preshanion mein khush kaise ------------------------xxx---------------------- Rishta jo nibhao ge to pade gi daraar bhi Bechaini kabhi mile to milega qaraar bhi Kabhi aasaaniyan hongi mushkilein kabhi Dil milenge to khadi hogi deewaar bhi -------------------------xxx--------------------- Hum apni ghalti yun ka qarz utaar rahe hain Zindagi jee nahin rahe guzaar rahe hain Rishta jo nibhao ge to pade gi daraar bhi Bechaini kabhi mile to milega qaraar bhi Kabhi aasaaniyan hongi mushkilein kabhi Dil milenge to khadi hogi deewaar bhi

Budhaapa

Umr ab joon joon badhati jaati hai Fikron ki taadaad badhati jaati hai Kisi din sukoon se na baithne mile Bechaini din ba din badhati jaati hai Jawaani mein hote hain kaam ke din Budhaape mein aate araam ke din Budhaape ne to kabhi na araam kiya Kya Eid Diwaali thay sab naam ke din Kisi bhi baat pe ikhtiaar nahin rehta Koi rishta koi naata yaar nahin rehta Bezaar hote hain sabhi dekh kar Khulus , adab aur pyaar nahin rehta Sunta nahin koi baat tum jis se karo Jawaani mein daraate thay ab khud bhi daro Sharmindagi be izzati muqaddar hon jab Zindagi se behtar hai chupke se maro

Talash Karo

Siyahi phailee har taraf rang talaash karo Andheri qaid se niklo surang talaash karo Shuwaaon key rang mil jaaiengey sabhi Na ummeed na raho umang talaash karo Tanhaa na rahe koi saath sang talaash karo Kabhi katay na jo wo patang talaash karo Khud ko na qaid karo chaar deewari mein Ye kaanch ki hoti hai sang talaash karo Khush rehne ke rang o dhang talaash karo Nabz ke khilaaf ho kaise jung talaash karo Budkaariyan badh chuki hain zamaane mein Muqaablay ke liye tum sabrang talash karo Faqeer Sadhu sant mulla Malang talaash karo Faulaadi iraadon mein lage zang talaash karo Madad badh ke karo tum budnaseebon ki Samaaj ke ghareeb nang dhadang talaash karo

Monday, January 4, 2021

Kaash

Ghamon ke parbat ko neze pe uchaala jaaye
Dukhon ke saagar ko boond boond ubaala jaaye 
Aaye Masiha koi jo bujhi aankhon mein roshni aaye
Dhundlay dhundlay se nazaare se yeh jaala jaaye 

Khushiyun ke raston se kanto ko nikaala jaaye
Andheri raahein hon door dil mein ujaala jaaye
Koi aas paas hamaare kyun naa ummeed rahay
Is Dunia se door girya wo zaari ka naala jaaye 

Sab ki koshish ho ke girton ko sambhaala jaaye
Imaandaari ke saanche mein beimaan ko dhaala jaaye
Khudgharzi na panapnay paaye dilon mein dekho
Samaaj mein bachchon ko is tarah se paala jaaye
Neki karo aisi ke isay na daria mein daala jaaye

Madad sab ki karo ke door sab ka diwaala jaaye
Tangdast na hon log yehan, sab ko rozgaar mile
Sab ke haq mein sabr o shukr ka niwaala jaaye
Ilm ho haasil sab ko , jahaalat ko ab taala jaaye
Door jaa kar giray ghareebi ko yun uchaala jaaye 
Ho ilaaj muft mein , hum woh zamaana dekhein 
Jo bhi jaaye payaam hum se , woh aalaa jaaye