Tuesday, January 5, 2021

Budhaapa

Umr ab joon joon badhati jaati hai Fikron ki taadaad badhati jaati hai Kisi din sukoon se na baithne mile Bechaini din ba din badhati jaati hai Jawaani mein hote hain kaam ke din Budhaape mein aate araam ke din Budhaape ne to kabhi na araam kiya Kya Eid Diwaali thay sab naam ke din Kisi bhi baat pe ikhtiaar nahin rehta Koi rishta koi naata yaar nahin rehta Bezaar hote hain sabhi dekh kar Khulus , adab aur pyaar nahin rehta Sunta nahin koi baat tum jis se karo Jawaani mein daraate thay ab khud bhi daro Sharmindagi be izzati muqaddar hon jab Zindagi se behtar hai chupke se maro

No comments:

Post a Comment