Wednesday, January 20, 2021

Zamana aaj kal

Talkhiyun ke saaye mein sadaaqatein bhi panaah leti hain 

Dard ke maqaam mein raahatein bhi jegah leti hain 

Ye nizaam e qudarat hai na waqt na mausam rhein yaksaan 

Aziyaton ki lehrein saath  chaahatein bhi  bahaa leti hain 


Nafraton ke is  jahaan mein mohabattein bhi saza leti hain 

Aur mohabbat ke badle  aksar nafratein bhi basa let hain

Apne amal ke silay ki tu ummeed na kar zamaane se 

Nekiyaan nuqsaan ki aksar qeematein bhi chuka leti hain 


Zindagi na shukri ban kar Nematein bhi ganwa leti hain 

Khwahishein kya kum hon hasratein bhi badha leti hain 

Laalach ke aage sabhi be bas hain is daur e jadeed mein 

Ye faaslon ke dard de kar qurbatein bhi chura leti hain 


Kis  ko samjhaaoge  ye nasl  sohbatein  bhi bura leti hain 

Diwaangi ke aalam mein hidayatein bhi daba leti hain 

Ajab sa tamaasha ban kar reh gaya hai ye zamana logo

Jawaani aaj kal burzurg ki nasihatein bhi kahan leti hain 


No comments:

Post a Comment