Tuesday, January 5, 2021

Talash Karo

Siyahi phailee har taraf rang talaash karo Andheri qaid se niklo surang talaash karo Shuwaaon key rang mil jaaiengey sabhi Na ummeed na raho umang talaash karo Tanhaa na rahe koi saath sang talaash karo Kabhi katay na jo wo patang talaash karo Khud ko na qaid karo chaar deewari mein Ye kaanch ki hoti hai sang talaash karo Khush rehne ke rang o dhang talaash karo Nabz ke khilaaf ho kaise jung talaash karo Budkaariyan badh chuki hain zamaane mein Muqaablay ke liye tum sabrang talash karo Faqeer Sadhu sant mulla Malang talaash karo Faulaadi iraadon mein lage zang talaash karo Madad badh ke karo tum budnaseebon ki Samaaj ke ghareeb nang dhadang talaash karo

No comments:

Post a Comment