Friday, February 21, 2014

BHRASHTAACHAAR- May be published in duplicate with some other title


Lo suno  tum aaj ke zamaane ki baat
Kaam karein log jab pade ghoosa laat
Laanat rishwat ki phaili hai waba ke jaisi
Kaam hoga tabhi jab  dein saughaat

 

Duniya ne lagaaye hain hazaaron pehre
Kahin kaam camera kahin satellite hai kare
Phir bhi kar jaate hain kaam jo karne waale
Naqaab mein rakhte hain wo apne chehre

 

Dastoor hai majboor hai Insaan yehan
Zillat , izzat mein ab farq hota hai kahan
Be ghairat sa bana phirta hai bas kaam bane
Lagta khudgharzon se bhara huwa yeh jehan

 

Raho ge seedhay to kehlaao ge tum paagal
Koi un dekha karega , koi niklega sambhal
Qadar is qadar gire gi ke har shakhs tumhein
Khada na paas karega,  kahega …aage chal

ASHAAR - MAY BE PUBLISHED IN DUPLICATE


Bujhi bujhi si tabiat bhi khil gayee apni
Jab kabhi bhi log ..mile hain khloos se
--------------------------------------------------------------------------------------------------
NA JAANE KYUN BADH GAYEE UN SE YE DOORIYAAN
JEETAY HAIN HUM MILNEY KI TAMANNA LIYE HUWAY
----------------------------------------------------------------------------------------------------
IS SOCH SE BECHAIN HO GAYA AKSAR
ZINDAGI KE HAASIL KA JAB HISAAB KIYA
-----------------------------------------------------------------------------------------------------
Poochey  jo  koi  duniya mein khush kyon nahin rehte
Shakl   aankhon mein ghoom jaati hai  rishtedaaron ki
 -------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Kahin kahin ye rishta ba qadre khaas hota hai
Aur in ke bichad jaane se dil udaas hota hai
--------------------------------------------------------------------------------------------------------
Zara si der ka hota hai khushee ka pehloo
Qaid kaise karoon is ko yeh pal bhar ko mile
----------------------------------------------------------------------------------------------------------
 

SAME OLD POEM- WITH LITTLE CORRECTION


Na ho dukh dard koi aur ghamon ki ghata na ho
Yeh dil burey na hon yeh naaraazgi hata no ho
Laut jayae ye duniya phir daur – e – azal mein
Na ho koi dost madad ko aur dushman data na ho
 

Na ho koi bhool mujh se apno ki koi khta na ho
Na apney dil ki suney koi aur dil bardashta na ho
Rahoon ban ke mast maula jab tak yehan jiyoon
Rishtay na hon na ho dosti aur koi waasta na ho
 

Nafratein na hon , koi muhabbat mein luta na ho
Oonch aur neech dikhaaney  zamaana juta na ho
Be bas na ho koi yehaan aur na koi bhi ho zaalim
Ek doosrey ko marney maarney koi utha  na ho
 

Makaan na ho, na ho manzil koi, raasta na ho
Bhatak jaaoon kaheen, aur koi mera pata na ho
Rahey diwaangi taari phiroon pagal sa awaara
Hai koi jagah jahaan pe yeh “aadmi “ bata na ho.

ashaar


Waqt ki maar zemmedaariyon ki bharmaar hai tabiat kuch beemaar
 Hosle past tang hain mere dast aur door baithay hain mere yaar

------------------------------------------------------------------------------------------------ -------------------------
 Awaaz ko hamaari ubhartey hi dabaa daala
 Kehney ki kabhi jurrat phir hum nay nahi ki
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Kehney suney mein ho jaatey hain alfaaz khatam
Maza jab hai ke wo samjhey aur chup hum rahein

ARZ KIYA HAI


Daulat  aur  izzat  mein  hum  ne chunI  thI  izzat
Aaj  kyun  badh  gayee  daulat  ki  haisiyat  yaaro

---------------

Sab ke apne hain masaayel hain masroof sabhi
Diya mauqa zindagi ne to mil baitheinge kabhi

-----------------

Hairaan na ho apne muqaddar ko na tu kos
Mili  sazaa  jo  tujhey  kuch gunah kiya hoga
 
---------------------
Teir meharbaaniyon ka zikr hi kya
Jo mila mujhey mein us qaabil na tha
kin kin naematon ka batlaayein hum
beshumaar hain tu ginta hai kya.
-------------
Ho agar aisa to zindagaani mil jaaye mujhe
Kho jaaye hosh mera deewaangi mil jaaye mujhe
Na rahe farq baaqi khushi aur gham mein koi
Tabiat ki kuch aisi begaangi mil jaaye mujhe
---------------
NA JAANE KYUN BADH GAYEE UN SE YE DOORIYAAN
JEETAY HAIN HUM MILNEY KI TAMANNA LIYE HUWAY