Saturday, February 23, 2019

Ashaar

Mushkilein kum nahin fikron ka pahaad khada
Zarooratein behisaab faraaez ka tokra  hai bhara
Adna insaan ka yehi haal hai is dunia mein
Abhi sambhal bhi  na paaya tha ke  gir pada


-----------x-------


Ek pal ka sukh , aur sadiyon  hai rehta dukh
Khushi ka ek chehra  aur ghamo ke kai rukh
 


-----------x-------


Apna maazi ek uljhan apna mustaqbil fikar
kal jo guzra hum yahin thay kal jo aaye hon kidhar


-------X-------------


Is kaifiat ko main tumhein samjha nahin sakta
Apna bhi kisi waqt mein apna nahin lagta
Gahiron pe kabhi jaan bhi dene ko jee chaahe
Apnon se bhala ghair hai anjaan nahin lagta


-------x-----------


Bura zamaana hai, dil ko sazaa kyun
Yeh pyaar ka makeen hai adaavat se bhara kyun.





Friday, February 22, 2019

Aakhri Ayyam


Zindagi ab chooti jaa rahi hai

Yeh dore  tooti jaa rahi hai

Nahin pata kaise kab guzri

Jaan jism se roothi ja rahi hai


Is safar ki ab tayaari kya
Jaana hai sahaaron pe sawaari kya
Vaid o hakeem ki zaroorat kise
Kya sehatyaabi,  beemaari kya
 
Pachtaawa malaal  kaisa ab
Fikr o khayaal kaisa ab
Waqt nikal chuka hathon se
Tehqeeq o sawaal  kaisa ab
 
Shikwe naale dar guzar kar lo
Jo mila uska tum shukar kar lo
Maghfirat ki dua zaroori hai

Aakhri ayyaam to sabar kar lo