Zindagi ab chooti jaa rahi hai
Yeh dore tooti jaa rahi hai
Nahin pata kaise kab guzri
Jaan jism se roothi ja rahi hai
Is safar ki ab tayaari kya
Jaana hai sahaaron pe sawaari kya
Vaid o hakeem ki zaroorat kise
Kya sehatyaabi,
beemaari kya
Pachtaawa malaal
kaisa ab
Fikr o khayaal kaisa ab
Waqt nikal chuka hathon se
Tehqeeq o sawaal
kaisa ab
Shikwe naale dar guzar kar lo
Jo mila uska tum shukar kar lo
Maghfirat ki dua zaroori hai
Aakhri ayyaam to sabar kar lo
No comments:
Post a Comment