Tere dil ki wasaton ka zikr kya
Ke tu chot kha ke bhi khush raha
Rahi baat meri to sun le tu
Ke main khush reh kar bhi na khush raha
Main chala tha paane jahaan shaad
Ye judaayee ka meri bana sabab
Ise paa kar gham mile har qadam
Ye buraayee ka meri bana sabab
Wo nazar ka meri suraab tha
Jo dekha tha ek khwaab tha
Jise samjha khoob, kharaab tha
Jise khoya wo laajawaab tha
Ab zamaane bhar ki hain thokrein
Chahe kaam hum ab jo karein
Magar shikwa ab hum kyun karein
Chaahe jee uthein ya ab marein
Huwa door wo jo qareeb tha
Main ne paaya wo jo naseeb tha
Ye waaqiya bhi kuch ajeeb tha
Ke bana rafeeq jo raqeeb tha
Mere dil ko ab ye malaal hai
Tujhe paa sakega na ab kabhi
Jo guzar gaya tu wo waqt hai
Ke jo aa sake ga na ab kabhi