Guzar raha hai waqt hum ko kamzor kare
Haalaat saamne khade hain munh zor kare
Bahut se kaam hain baaqi jo hum ko karna
hai
Kai ahsaanon ka khamyaaza hum ko bharna hai
Bina matlab ke madad Duniya mein koi na kare
To mera farz hai koi mohsin mera aahein na bhare
Zindagi mein hai yeh koshish ke ada farz karoon
Maar ke apni khwaahishon ko ada qarz karoon
Is liye karta hoon dua mein hamesha
Rab se
Koi ahsaan na ho mujh pe , bacha tu sab se
Meri khwaahishon ko mein khud mita phekoon
Mere armaano pe beshak mein paani pheroon
Umad umad ke jo aaye hain aasmaanon pe
Kaash barsein ye baadal mere armaanon pe
No comments:
Post a Comment