Saturday, May 9, 2015

FUNNY ON SMART PHONE


Gift mein smartphone hum ne jab se begum ko diya

Tab se dil ko mila sukoon chain ka saans hum ne liya

Kabhi  kabhi  sahi  faisle  bhi  dair  se huwa karte hain

Dair aayed durust aayed ke qaul pe faisla hum ne kiya

 

Ab sar se mere har waqt ki kud kud, aur bala hai  tali

Mujh ko ab  jaise  sahi maano  mein  azaadi hai  mili

Jo  ghar  hote  huwe  bhi  Jail  sa lagta  tha  mujhe

Us ka har Dar hai ab khua aur har Khidki hai khuli                       dar = darwaza

 

Har waqt  haath mein phone aur sar jhuka milta  hai

Begum ka chehra hamein ab kum hi utha dikhta hai

Jo  angutha  hamaare  kuch  kehne pe uth jaata tha

Woh ab saara din whatsapp pe message likhta hai

 

Hai  inaam ka haqdaar jis ne smart phone  banaaya

Kai logon ke dil  se pareshaani ka hai bojh hataaya

Phirte hain dandanaate sabhi shohar ab ghar mein

Door rehta hai ab sar se jo biwi ka khauf tha chaaya

 

No comments:

Post a Comment