Saturday, May 9, 2015

MAIN ???


Naye zamane mein ‘Adab’ tehas nehas hoga

Buraayee mein mulawwis  har  nafas  hoga

 

Tarbiat  aisi  mili  thi ,  sabr aur shukar se jiye

Dil pe qaabu rakha ke shikaar e hawas hoga

 

Banaaya  mushkilon se hum ne Ashiaane ko

Khabar  na  thi  ke  hamaara  yeh qafas  hoga

 

Zindagi  guzaar  chale,  faraiz   ada na  huway

Nahin jaante thay aana Duniya mein abas hoga

 

Mujhe pata na tha ke baad marne  ke mere

Logo  mein  amal  mera  baa’ ise  bahas hoga

No comments:

Post a Comment