Saturday, May 30, 2015

ZINDAGI MEIN


Ban jaaye koi rehbaar sunsaan zindagi mein

Ummeed e gulsitan bandhe veeran zindagi mein

 

Aitbaar karein kyunkar mehboob ho ya dushman

Karte hain sabhi qatal ka saamaan zindagi mein

 

Apnon se thais paana hai reet is jahan ki

Hota hai kyun tu is qadar hairaan zindagi mein

 

Apne mufaad ke liye har shakhs bana haiwaan

Milta nahin hai dhoonde se insaan zindagi mein

 

Ghalib hai yehan fikr e maash fikr e deen par

Phir bhi nahin hai koi pashemaan zindagi mein

 

Husn e ikhlaaq wafa aur khuloo kya hai Shakil

Sab kuch bhulaaye baitha hai naadaan zindagi mein

No comments:

Post a Comment