Saturday, August 23, 2025

Ashaar

 Tere aane se hai yeh jag roshan

Chaand ko ye gumaan ke ujaala us se hai 

———///———-

Zaalim waqt hum se khafa ho raha hai 

Nas jaane kaun sa ye wafa e wafa ho raha hai 

Hum na samjheinge taqdeer ke is khel ko 

Wo dekho phir koi hum se juda ho raha hai 

——-/////——-////:———

Tujh pe sab kuch lutaane ko mann karta hai 

Tujh pe ab mar mit jaane ko mann karta hai

Jab beqaraar rehta hai tere pyaar mein dil 

Tujh pe phir pyaar jataane ko mann karta hai 

———://///——-///////———-::://——





Tha

 Azad tha mein 

Giraftaar na tha 

Bank balance tha 

Qarazdaar na tha 

Raashan naqad aata 

Udhaar na tha 

Sahat achchi thi 

Beemaar na tha 

Sab kuch tha 

Kisi ka talabgaar na tha 

Shaadi ki

Samajhdaar na tha 

Is ke baad kya huwa 

Kehne ka haqdaar na tha 


Poems

Saath jiska pyaara lage aisa rehbar kaheen aur nahin 
Qadam qadam jannat lage aisi dagar kaheen aur nahin 
Apni aankhon mein kahin hum ko basaa lein wo agar 
Honge laakhon achche makan aisa ghar kahin aur nahin 
Har subha wo aahein nazar aisi sahar kaheen aur nahin 
Har waqt unka zikr ho aisi khabar kaheen aur nahin 
Honge Dunia mein kayee dilkash aur dil nasheen magar 
Dil pe kar de jo aisa asar aisa sahar kahin aur nahin 

———////———-111//////-///:—/-///
Ek hum hain ke nazrein bichaaye jaate hain 
Ek wo hain ke nazrein bachaye jaate hain 
Ek hum hain ke  dil ki har baat keh jaate hain
Ek woh hain ke kayee raaz chupaaye jaate hain 
Ek hum hain ke chaahat mein mare jaate hain
Ek woh hain ke chaahat se dare jaate hain 
Ek hum hain ke har tarah se samjhaate hain 
Ek woh hain ke bas inkaar kare jaate hain
Ek hum hain ke har baar ishq farmaate  hain 
Ek woh hain ke sunkar ke shramaate hain
Ek hum hain ke dil qadmon mein rakh jaate hain 
Ek woh hain ke dil ko tod ke rakh jaate hain 
————.://////——-///////://////——————
Itna haseen hai tu ke jis ka na koi saani hai 
Adaon mein teri maujon. si rawaani hai 
Tere wajood se hai chaayee bahar dunia mein 
 Har mausam ab lage rut jaise koi suhaani hai 

Dekhi na dunia ne kabhi pehle aisi jawaani hai 
Tera chehra hi ku ba ku Teri kahaani hai 
 Sabhi ko tere deed ka intezaar rehta hai 
Pagal majnu hi nahin Dunia teri deewaani hai 

Mohabbat mein karta har koi mann maani hai
Chaahe zinda rahe ya phir maut isko aani hai 
Phir bhi ishq ka rehta hai sawaar bhoot in pe 
Jaante sab hain ke ab chot dil ko khaani hai 






—-/:::/———:::::::/-/——//////———-/::::———-

Friday, August 22, 2025

Pati Patni

 Jab aaoon mein thak haar ke ghar tum khaana rakh deti ho 

Aur mujh ko khush karne ke liye tum meetha bhi kuch deti ho 

Jab khaa ke main araam karun tum kamra band kar deti ho

Bachche tab gar shor karein tum unko chup kar deti ho

Jab neend se main uth jaaoon to tum chaaye bana kar deti ho 

Aur chaaye ke saath khaane ko kuch biscuit bhi rakh deti ho

Jab pyaar se mere kaandhe par sar apna tum rakh deti jo 

Aur sar take phir aankhein tum apni band kar deti bo 

Tab mujhe tum achchi lagti ho 

Pyar

 Kai roop kai rang mein pyaar hota hai 

Miyan biwi hain to takraar se pyaar hota hai 

Guzarte hain din gharelu uljhanon mein 

Miyan biwi ka dil phir beqaraar hota hai


 Kai roop kai rang mein pyaar hota hai 

Bhai behan ka ho to ajab sa pyaar hota hai 

Fikr karti hai behna apne bhai ki har ghadi 

Bhai ka pyaar to jaan nisaar hota hai 


Kai roop kai rang mein pyaar hota hai 

Maa ka Bachche ke saath pakeeza pyar hota hai 

Kare juda inhein agar zindagi ki majboori 

Maa tadapti hai bachcha bhi ghamkhwaar hota hai 

Kai roop kai rang mein pyar hota hai 

Laila majnu ki tarah ho to alag pyaar hota hai 

Milta nahin dekhe se aisa pyaar is dunia mein abhi 

Aisa pyaar tons kahanyun mein shumaar hota hai 







Wednesday, August 20, 2025

Kaun

 Pal pal mere khayaalon mein samati hai. 

Karwat karwat jis ki yaad sataati hai 

Nas nas mein jab se dekha hai basti hai 

Nazar nazar mein nigaahon mein sajti hai 

Qatra qatra raahat ban ke barsati hai 

Nazar nazar jise dekhne tarasti hai 

Kaun hai tu bata meri tu kya lagti hai 

Qadam qadam  pe mujhe tu bhali si lagti hai 





Ho jaaye

 Ya dil mein mohabbat ka wajood khatam kar de

Ya phir pukhtagi itni de ke yeh patthar ho jaaye 

Ya meri hasti ko Dunia se mita ke rakh de 

Ya phir haal deewano se bhi baddtar ho jaaye 

Ya woh aa aa kar khwabon mein rulaaya na karein 

Ya phir so na sakun kaanton ka ye bistar ho jaaye 

Ya aisa ho ke jab dekhun to mein unko dekhun 

Ya phir kuch dekh na sake aisi meri nazar ho jaaye 

Ya is Dunia mein mujhe us ka sahaara de de 

Ya phir maut hi ab mera muqaddar ho jaaye 


Poetic lines continued

 Tujhe dekh ke aisa lagta hai

Koi chaand sitaron mein sajta hai 

Jo dekhe fida ho jaaye tujh pe 

Tere chehre pe noor barasta hai 

Tera husn jab bhi sanwarta hai 

Logon ka dil isi pe to marta hai 

Tujhe dekhne ko qadam ba qadam 

Yeh zamaana aahein bharta hai 

————-/////————-/////———-

Chehre pe chamak tere Kiran si

Aankhein tu ne paayee hiran si 

Muskan kisi phool ke khilne se kum nahin 

Khushbu tujh mein hai basi chaman si 

Tazgi liye phirti tu subha ke pawan si 

Chaand aur suraj se saji hai tu gagan si 

Jagnagaaye tera roop jhilmil taaron sa 

Garmi tere rukhsaar ki hai agan si 

————-//////—————-///////————-

Na umidee mein tu dikhaaye ummeed ki kiran 

Ruki zindagi phir daud lagaaye jaise koi hiran 

Dukhi Dunia dekh jab ho jaaye bojhal mann 

Tujhe dekh ke jee uthay dil ki phir dhadkan 

Saans lena mushkil lage aisi badhe ghutan 

Tera khayaal ke kar aaye phir thandi ek pawan 

Qismat lage andhyaari jaise laga ho koi girhan 

Chaand ban ke chamke tu roshan kare gagan 

——-//////———-:::::://////———/:::::///-/—








Tuesday, August 19, 2025

Naseeb

 Khushi kahan sab ke daman mein 

Hansna to sab  ka naseeb nahin 

Din raat jo aansu peetay hain 

Madura to sab ka naseeb nahin 

Maa ki hum kya baat karein 

Mamta to sab ka naseeb nahin 

Rishte sab achche hote hain 

Nibhana sab ka naseeb nahin

Dost to sab hi rakhtay hain 

Wafa to sab ka naseeb nahin 

Ghairon ka gila hum kyun karein 

Apnapan sab ka naseeb nahin 

Raton mein neend nahin aati 

Sona to sab ka naseeb nahin 

Aankhon mein aansu hote hain

Rona to sab ka naseeb nahin 

Paison ki zaroorat sab ko hai 

Daulat to sab ka naseeb nahin 

Ho jaayein hum sapno mein dhani 

Sapne to sab ka naseeb nahin Din raat

Zindagi se kyun hum mange waqt 

Amrit to sab ka naseeb nahin 

Pal pal ko hum to marte hain 

Jeena to sab ka naseeb nahin 







Choti kaweeta

 Tsunami lahar 

Khudayee qahar 

Aafat e naaghaani 

Zahni pareshaani

Kudhti saasein 

Holnaak aahein 

Buri nazar 

Koi fikar 

Dil e bechain 

Bhige nain 

Gande log 

La ilaaj rog 

Dukhi aansu 

Zalim saasu 

Adhuri hasrat 

Kisi ki nafrat 

Qarz udhaar 

Jhoota pyaar 

Takrar jhagda 

Dushman tagda 

Koi hadsaa 

Dost Shatru sa 

Monday, August 18, 2025

Poetic lines

 Sab kuch dia hai tu ne Zindagi mein

Main ne kya lautaaya tujhe bandagi mein 

Tu ne chaaha  par main na insaan bana 

Kate gi umr sari isi sharmimdagi mein 

——————-///————///—————-

Suraj ubhre tujhe dekhne savere 

Chanda bhi apni chandani hai Bikhere 

Chune tujhe badal paani banker barse 

Hawa bhi tujh se lipat kar ke guzr

Phoolon ki tamanna baalon mein tere sanvre 

Logon ki aankhein tujhe dekhne komtarse 

————-////-123///—————

Tere saath hota to kuch aisi baatein hotein 

Din ke ujaale tere meri andheri raatein hotein 

Saari mehnat sab kaam Dunia ke mere naam hote 

Inaam hote saare tere, Teri saari saughatein hotein

Hota har pal yaadgaar jab bhi mulaqaatein hotein 

Hote agar dur to saath yaadon ki baaraatein hotein 

Jee jaan apna sab  kuch tujh par nisaar main karta 

Dukh na deta, hamesha khushyun ki barsaatein hotein 

———////:——///////————:::::——

Jab bhi hota hai unka saamana 

Dil kehta hai dilbar zara thaamna 

Aankh sharam se jhuk jaati hai

Saans chalte chalte ruk jaati hai 

Hosh saare phir udh jaate hain 

Kyun hum deewaane se ho jaate hain 

Aisi dilkashi kisi mein dekhi na kahin 

Dekh kar jisko nikal jaati hai qadmon se zameen 

——-/-/—////————/::::/—-//-/—

Pyaar khush shakl hai khushbu hai khubsurat hai 

Paskizah hai pur noor hai jaise ke teri surat hai 

Hota nahin pyaar to rehti nahin Dunia baaqi 

Jeene ke liye hawa ki tarah is ki bhi zaroorat hai 

————/////————////——/////—

Tujhe dekha hai chamkte chaand ki kirnon mein 

Taazgi se bhare behte huway khubsurat jharnon mein 

Shokh chanchal khilti pyaari si kaliyuon mein 

Sarsabz bhare baghon mein aayee baharon ki galiyuon mein

Dekha hai tujhe subah ki paakizah hawaaon mein 

Barkha ke mausam ki sundar ghtaaon mein 

Kisi aashiq ke pyaar bhare adhoore armaanon mein 

Bachchon ki maasum dil ko choone waali muskaanon mein 

—-///———-/////———-////————:////————-

Teri aankhein hain ya do diye hain jalte 

Jismein zindagi ke ujaale hain miltey 

Be noor zindagiyun ko tu is mein band kar de

Andheri raton mein inki tu roshni bhar de 

Aisi siyaahi hai raahon mein  ke dil ghabraata hai 

Kaun  si raah hai manzil nazar nahin aata hai 

Phir aise waqt mein koi kare to kya kare 

Marne wala phir zindagi ki hi dua kare 

———-//:/::———//::::/::://:::——-//

Jab ooperwale ne tujh ko banaaya hoga 

Sochta hoon kahan se kya laaya hoga 

Chaand ka ek haseen tukda toda hoga 

Phir usko sang e mar mar se joda hoga 

Samandar se kuch moti nikaala hoga 

Phir ismein chandani ko milaya hoga 

Ghataon se kaale badal ko mangaaya hoga 

Phir phoolon ki khushbu ismein basaaya hoga 

Moorat banaane ke baad phir khud socha hoga 

Itna khubsurat chehra kabhi na dekha hoga 

———////::/:————////:/:———-////::::://:——

Kisi ka bhi husn na kabhi aisa dekha 

Jisko dekh ke nazron ko ho jaaye ye dhoka 

Ke saamne koi dilkash khadi hai ek ladki 

Ya mein ne khada kisi pari ko hai dekha 

Jiska  chehra hai ya kai gul hain khile 

Jiski aankhein hain ya hain chaand o suraj nikle 

Jiski zulfein hain ya ghata hai koi gagan ke tale 

Jiski khushbu hai ya ke koi pawan hai chale 

Zindagi tujh ko di hai khuda ne haseen 

Isko nazar na lage dushmanon ki kaheen 

Aisi hi sundar aur pyaari tu ab lagna sadaa 

Jis ko ke yaad rakhe ye aasmaan o zameen 

———-/////——-///://———::::////:://——

Tere khayaalon ne meri Dunia hai alag basaayee 

Hota hoon tanha mein par hoti nahin hai tanhaayee 

Aksar raaton mein jab kahin kho saa jaata hoon 

Mujh ko aisa lagta hai mere saath hai tu aayee 

Pyaar karne waalon ki jag mein kahan hoti hai sunwayee 

Khwaabon mein dekha kuch haqeeqat mein kuch nazar aayee 



Had some issue in posting these lines 

Some lines got deleted 




Greetings for new year

 Aap ko is new year mein 

Chandra Gupt ki shakti 

Meerabai ki bhakti 

RajChandra ka gyan 

Karna ka daan 

Einstein ki buddhi 

Noble prize ki siddhi 

Gandhiji ki ahinsa 

India ki parampara 

Vajpayee ki maryada 

 Dharmendra sa dil dada 

Nizam ki sampada 

Mehmood si har ada 

Michael Jordan ki salary 

Abdul Kalam ki vocabulary 

Bhagat Singh ka desh prem 

Sweetheart ka amarprem 

Microsoft ke shares

Rupiyun ke dher 

Tata ke sansas 

Ambani ke licenses

Birla ka bangla 

Daler ka bhangra 

Rafi ki awaz 

Naushad sa saaz 

Dilip kumar ka style 

Madhubala ki smile 

Shahrukh ki personality 

Salman ki populairty 

World tour ka ticket

Tendulkar ka wicket 

Administrators  ke passwords 

Amitabh ke forwards

Mercedes ki car

Diamond ka haar 

Aur logon ka dher Sara pyar prapt ho

Wishing you a happy new year 2026 

————:///———-//////————-//////————-

Sari khushiyan samayein daman mein aap ke 

Hon sapne woh sahkar jo hain mann mein aapke 

Rahe sahat achchi,daulat se hon malamaal 

Sukh hon shanti ho na hon haal se badhaal 

Aashirwaad mile dher sa, bahut sa pyar mile 

Khushiyan mile , ghum mein ghamkhwaar mile 

Hanste hansaate rahein, na rahe koi malaal 

Shubh kaamnaayein, mubarak ho naya saal.





Poem

 Jab kisi dil ko kisi dil se raah hoti hai 

Tab ajnabi ko kisi ajnabi se chaah hoti hai

Badh jaati hai mohabbat is qadar in mein 

Jazba e qurbaani ki phir ibtida hoti hai


Koi is ka jahan mein nahin milta jawaab 

Ye aashiq ko dikhaati hai jaagte mein khwaab 

Koi bhi hosh nahin rehta hai Dunia ka isay 

Woh chaahe  phir ho faqeer ya ho woh nawaab 


Ajab sa haal ghazab sa junoon rehta hai 

Aashiq apne mehboob ko khuda kehta hai 

Ibaadat kya gunah kya wo bhool jaata hai 

Deen o Dunia ke taaluq se  juda rehta hai 


Rah jaate hain sabhi rishte phir sirf naam ke 

Toot jaate hain bandhan khuda ke Ram ke 

Ishq ne  sab ko nikamma kar ke rakha hai 

Warna ashraful makhlukaat thay bade kaam ke 







Poem andaz badal ke

 

Jahan yeh kaun sa hai aur zamin yeh kaisi hai 

Jahan ki har cheez tujh se milti hai tujh jaisi hai 

Jahan chaand bilkul tujh sa nikalta hai 

Jahan phoolon ka rang tere rukh sa nikharta hai 

Jahan baade saba chalti hai khushbu tujh si liye 

Jahan suraj chamkta hai roshni tujh se liye 

Jahan ghataayein teri zulfon ki tarah chaati hain 

Jahaan hawaayein teri khushbu ki tarah aati hain 

Jahan ke jharnon mein teri taazgi behti hai 

Jahan ki nadiyun mein teri pakeezgi rehti hai 

Jahan parinde teri boli sunte samajhte hain 

Jahan Charinde tujhe dekhnay taraste hain 

Jahan lamha lamha pyaar muhabbat milti hai 

Jahan har mausam mein kali phool ban ke khilti hai 


Poem

 Is jehan ke liye ho ya aasmaan ke liye ho 

Pata nahin ke tum bani kahan ke liye ho 

Chehre pe Chandni aamkhon mein chamak hai 

Gesu hain baadlon se ajab inki chamak hai

Honton pe hai muskan ya ke  hai kli khili 

Hurein hain pashemaan surat hai woh mili 

Seerat teri jo dekhi Farishte bhi huway dang 

Tujh se mile gar baadshah ban ke mile malang 

Dekh tujh ko koi bhi tera deewana bane raton ko jage 

Darr hai is baat ka kisi nazar ki nazar na tujh ko lage 


Saturday, August 16, 2025

Poem

Dunia mein aashiqi ke maron ka ajab sa haal hota hai 

Khoya rehta hai din bhar woh kahan raton ko sota hai

Naa lab khulte hain aur kuch sunai bhi nahin deta 

Bas aankhon se kehne aur sunnay ka kaam hota hai 

Khushi milti hai kum Ghamon ka aksar bojh hota hai

Kabhi hansta hai jee bhar ke kabhi ek dam se rota hai

Samajh ho jaati hai gum si kuch achcha nahin lagta

 Har pal usko hi dekhein bas yehi armaan hota hai 




Thursday, August 7, 2025

Holi

 A friend requested to write on Holi 

YEH EK AISA TEHWAAR HAI HOLI 

HAR RANG SHAMIL HAI IS MEIN, KHUSHIYUN KI RANGOLI 

NA DUSHMAN NA KOI PARAAYA SABHI HITE HUMJOLI 

YEH EK AISA TEHWAAR HAI HOLI

KOI KHELE RANG SE TO KOI PHOOLON * SE HOLI 

CHOTE BADE SABHI  SHAMIL HAIN, RANG BARSAATI TOLI 

YE EK AISA TEHWAAR HAI HOLI 

LEIN GE MAZA WAHI JIS NE DIL KI GAANTH HAI KHOLI 

KEECHAD SE TAN GANDA KARTI MANN SE MAIL YE DHOLI 

YEH EK AISA TEHWAAR HAI HOLI 

—————-///————

* PHOOLON se holi Calcutta mein kheli jaati hai.



Wednesday, August 6, 2025

Geeton ke liye

HAMARI JAAN HI LE KEGA YEH CHEHRA TERA 

HAMEIN TO JAAN SE PYAARA HAI YEH CHEHRA TERA 

MAR JAYENGE HUM US DIN KHUSHI KE MAARE 

HO GA JIS DIN HAMAARE HATHON MEIN CHEHRA TERA 

HAZARON LOGON KI CHAHAT HAI YE CHEHRA TERA 

THAKE MAANDON KI HAI  RAHAT YEH CHEHRA TERA 

MARIZON KO ZAROORAT NAHIN DAWAAON KI 

JIN  AANKHON MEIN BASA REHTA HAI CHEHRA TERA 

CHAANDINI CHAAND KI SUBHA KI DHOOP HAI CHEHRA TERA 

SEEDHA SAADHA SA MAGAR KAI ROOP LIYE HAI CHEHRA TERA 

USAY PHIR KYA ZAROORAT MASNAWI UJAALON KI

CHAAND AUR SURAJ SE BHI JAB KHOOB HAI CHEHRA TERA 

——————————////——————————

Zindagi mein yeh haal mera huwa na kabhi 

Kahte hain agar ishq ise yeh huwa na kabhi 

Mujhe yeh Dunia ab ajeeb lagti hai 

Buray lagte hain sabhi tu bhali si lagti hai 

Is Dunia mein agar sirf hum hote 

Zulm hota na aur na sitam hote 

Mein jo  chahta tere liye phir woh hota 

Tu jo chahati tere liye main woh karta 

Subha shaam raat din ki na khabar hoti 

Mujhe Teri aur Teri hi bas fikar hoti 

————————///——————-

Teri chand baaton ne dil mera halka kia 

Ye aur baat hai aankhon ko chalka dia 

Main ye samjha tha ke mujh se rooth gaya 

Lekin teri baaton se uljhan ka jaal toot gaya 

Meri ye aarzu ke har dam tu mere paas rahe 

Jahan maun jaaun qismat tujhe mere saarh rakhe 

Mujh ko khushiyan dene waale tu aabaad rahe 

Main rahun ya na rahun tujh ko meri yaad rahe 

The Creator

 CHAMAKTE CHAAND TARON MEIN

WAADIYUON KE NAZAARON MEIN 

TERA JALWA HI DIKHTA HAI 

KHETON KI QATAARON MEIN

NADI KI DHAARON MEIN 

TERA JALWA HI DIKHTA HAI 

KHILTE PHOOL BAHARON MEIN

AUR GIRTE AABSHAARON MEIN 

TERA JALWA HI DIKHTA HAI 

UTHTI LEHRON KINAARON MEIN

BAARISH KI PHOOWAARON MEIN 

TERA JALWA HI DIKHTA HAI 


Tuesday, August 5, 2025

Tum


JANNAT SE MERA KHAWAAB MEIN EK DIN GUZAR HUWA 

KHUSHYIUN BHARI  DAGAR  PE MERA YEH SAFAR HUWA 

JANNAT MEIN JITNI PARIYAN DEKHI WO TUJH SI THIEIN 

CHAAYEE THI SHAKLON PE NOORANI WO TUJH SI THEIN 

MUSKURATI WO TO LAGTA TUM

MUSKURAYEE HO 

KASHISH AANKHON MEIN UNKI BHI TUM HI SAY AAYEE HO 

GUZARTI WOH HAWAON MEIN KHUSHBU SI BIKHAR JAATI 

KE JAISE MAHAK JAATI HAI UDHAR KO TU JIDHAR JAATI.

WOH BOLTI BHI TO LAGTA KE KUCH KAHA TUM NE 

KE JAISE KAANO MEIN KUCH AMRIT SA BHAR DIYA TUM NE