Jab kisi dil ko kisi dil se raah hoti hai
Tab ajnabi ko kisi ajnabi se chaah hoti hai
Badh jaati hai mohabbat is qadar in mein
Jazba e qurbaani ki phir ibtida hoti hai
Koi is ka jahan mein nahin milta jawaab
Ye aashiq ko dikhaati hai jaagte mein khwaab
Koi bhi hosh nahin rehta hai Dunia ka isay
Woh chaahe phir ho faqeer ya ho woh nawaab
Ajab sa haal ghazab sa junoon rehta hai
Aashiq apne mehboob ko khuda kehta hai
Ibaadat kya gunah kya wo bhool jaata hai
Deen o Dunia ke taaluq se juda rehta hai
Rah jaate hain sabhi rishte phir sirf naam ke
Toot jaate hain bandhan khuda ke Ram ke
Ishq ne sab ko nikamma kar ke rakha hai
Warna ashraful makhlukaat thay bade kaam ke
No comments:
Post a Comment