Kai roop kai rang mein pyaar hota hai
Miyan biwi hain to takraar se pyaar hota hai
Guzarte hain din gharelu uljhanon mein
Miyan biwi ka dil phir beqaraar hota hai
Kai roop kai rang mein pyaar hota hai
Bhai behan ka ho to ajab sa pyaar hota hai
Fikr karti hai behna apne bhai ki har ghadi
Bhai ka pyaar to jaan nisaar hota hai
Kai roop kai rang mein pyaar hota hai
Maa ka Bachche ke saath pakeeza pyar hota hai
Kare juda inhein agar zindagi ki majboori
Maa tadapti hai bachcha bhi ghamkhwaar hota hai
Kai roop kai rang mein pyar hota hai
Laila majnu ki tarah ho to alag pyaar hota hai
Milta nahin dekhe se aisa pyaar is dunia mein abhi
Aisa pyaar tons kahanyun mein shumaar hota hai
No comments:
Post a Comment