Friday, September 5, 2025

Doha ek koshish

 Parbat tootay sansar mein, sagar bhi tukday howay 

Har mushkil assaan howay jo himmat pakday howay 

Koi na paththar rokay raah jab tu chale badh badh ke 

Udh,aakaash hai manzil kyun pankh sukaday howay 


Dunia hai , sabhi dukhi , sab ke hi dukhday howay 

Yehan  azaadi na dekhe koi sab hi jakday howay 

 Bhaant  bhaant ke log yehan baat baat lad leway 

Gariban ghussa alag karein , ameeran  akday howay 


Punae sansasr se na mile hai , paap  sab joday howay 

Buray logan se bhari hai dharti achche thoday howay 

Dil chahe ke baandh ke gathri le lein hum banbaas 

Kaise rahein un bando mein jo mukhpat odhay howay  


Beet gaye wo yug jab sant sabhi ukhday ukhday howay 

Kehte khud ko bhagwan thay ,wo chahay bigday howay 

Dharam naam pe paise le lein seedha apna ullu karbe 

Ab jab sab ki pol khuli to chupay hai  mukhday howay 

 



 


Thursday, September 4, 2025

Ashaar

 Khud par kar bharosa to sapne sahakaar honge 

Har kaam jo mushkil lagte hain mumkin yaar honge 

Kaamyaabi milegi ek din aur manzil paaoge 

Mushkil raaste jeevan ke khud hamwaar honge 

———//////———

Zindagi do rukh ki hotai hai 

Ek sahi to dooji ghalat hoti hai

Ek pehlu bura to doosra behtar 

Gham ek taraf khushi doosri or hoti hai 


——////———/////———-

Ishq hota hai dil se,kya samjhe ga jahan 

Aashiq pyar  ka izhaar karta hai kahan

Yeh mumkin hota izhaar ishq ka ke jab 

Khuda dil ko bhi agar deta ek zaban 

——/////———//////———————


Tasveerein hain ye hamaare guzre huway kal ki 

Kya itni pyaari itni achchi hum sab ki shakal thi 

Ye main nahin kehta kehte hain thinker bade 

Ye kisi aur ki nahin apne Darwin ki aqal thi 

———////———/////———

Maine jo likha tum ne woh padha

Kya ghalat kya sahi ye tum ko hai pata 

———-///———-////————-

Is likhne ke andaz se main bhi hun dang

Jaane kahan se jaagi mujh mein ye unang 

Thay mujh mein ye gun is tarah ke 

Jis tarah safed rang mein chupe hain saat rang 

———-///////—————




Wednesday, September 3, 2025

Ashaar

 Jab koi  roke tumhein badhne se aage 

Tum badh jao tod ke saare bandhan ke dhaage 

Yeh aaye ho oomchaaeyan chune ko tum

Qaabil ho tum,tum se na koi aage bhaage 

——-////——-:////———

Mud kar peechay dekhoge jab tum maazi mein 

Jeet nazar aayegi tumhein apni kheli baazi mein 

Mushkilein hoti hain zindagi mein rokne ke liye 

Kaamyaab hai wo jo na phansa iski jaalsazi mein 

——-///——-/////———/////——

Likha jaisa bhi ho qismat ki kitabon mein haath jo tera lage taqdeer badal jaayegi 

Soorat kitni bhi buri zamane gardish kare, mukura de tu tasweer badal jaayegi 

Badnaseebi ka daur daura ho jab har taraf gar saath ho tum taqdeer badal jeeyegi 

Manzar buray khwabon ke kyun na kitne hi hon sang tera ho to taabeer badal jaayegi 

—-/:::::-/—/—-//-::::::——////////

Dunia mein har ek cheez thode waqt ko bani 

Woh raat ka andhera ho ya ho din ki roshni 

Suraj ka nikalna aur doobna hai bas pal bhar ka

Achche waqt ki ghadi bhi zara der ko hai rehni 

——-://///————/////————//////

Zindagi naam lage hai achche aur buray  lamhaon ka

Yeh muqaam hai kabhi khushi kabhi gham ke hamlon ka 

———/////////:————-::::::::