Kya karein mushkilon ka hum bayan
Har pal yahan hota hai ek imtihaan
Apni
mushkil ko tu apna jaan
Tu seekhe
ga kaise jo hull mein ne kardi
Sabaq
seekhega tu , agar bhoole rasta
To rasta mein tujh ko kyun kar
dikhaun.
Padegi jo thokar , to samjhe ga tab tu
To phir tujh ko girte pe kyun mein
sambhalun
Karega tu
kharcha agar paise mein doon
Phir tu hi
bata paise kaise mein de doon
DEKH DHAMKI TERI MUJH KO LAGTI NAJAYEZ
ADA KAR CHUKE HUM HUQOOQ WO FARAYEZ
Hua sab khatam un ki
ek ‘ NA ‘ se
Banaate rahe hum mahal kaise kaise
Himmat nahin ke , qadam aage badhte
Na hoga ab aisa , ke hum haq pe ladte
Huway hum budhaape se majboor aise
Kate gi umar yeh , ab khat likhte, padhte
Dekhne mein lage aisa ke
hukmarani hai haath
Kahne ko hain hakim par pareshaani hai saath
Achchai karo sab ke saath dekho achcha na bura
Ho jaanwar ya insaan, peeth pe ghopo na chura
Gadhe, ghode, hain sab makhlooq us
khaliq ki
Chaahe nazron ko na bhaaye yaa ho wo be sura
Dekh Sayyaad ne, yeh kya bol diya
Parinde ne parwaz ko par tol diya
Hamein kuch aisi
mili aazaadi
Qafas khula magar parwaaz na ki
Na wajood mein koi shakhsiyat
Na hi inki hai
koi ahmiyat
Ke bhale lagein is zamaane ko
Kaise paida ho woh haisiyat
Inki dekh kar aisi zehniyat
Paida hoti hai yeh kaifiyat
ghar bhool kar hain aaye yeh
Jise kehte hein ikhlaqiyat
Hoti hai in logon mein khaasiayat
Yeh hunar rehta hai shamil-e-tabiyat
Ke dekhte hain yeh sirf apna bhala
Kuch aisi hi hoti hai inki
tarbiyat