Wednesday, January 14, 2015

KUCH ASHAAR AUR


Dekh ke mail na hoga kabhi mera tujh say
Moud li main ne hain raahein teri raahon se paray
 

Jaane kyun har baat pe meri uthte hain sawaal
Mujhe har baat ko meri ab samjhna hai muhaal
 

Taarif nahin karte na tanqeed hai ab aati.
Mere likhe ki tum ko samajh hi nahin aati… J
 

Har kaam mein hai lagta , hoga ke yeh na hoga
Gum ho chuka hai mujh se kahin aitmaad mera
 

khwaab ki baat ho yaad, yeh mumkin kaise
Jab yaad nahin rehta jo hota hai haqeeqat mein

Kahani aur fasaana, maazi hain haqeeqat ke
Kyun yaad karein ab hum beeta bura zamana

Haafiza kamzor hota hai jab badhti hai umar
Dekh ke hone laga hai ,tujh pe bhi is ka ab asr


‘Khush raho’ kehte hain wo jaate huwe hum se
Hum kaise baateyin ke wajah ho khushi ki tum
 

Koshish dosti ki kari rahe ghair ke ghair
Unko to hai hum se khuda waste ka bair
 

Hote hain har ek baat ke do pehlu yehan pe
Pata nahin chalta ke ghalat kya hai sahi kya

 

ASHAAR



Kahan samaaye ga ab aa ke lutf ka pehlu
Jab fikron ko jagah di hai zehan ne mere


Kayee raahein  pohanchti  hain  manzil  ko magar
Jaane kis raah pe chala  main  ke jo manzil na mili


Ajab si kaifiat rehti hai ab mil ke sab se
Is daur ne apno ko bhi  paraaya hai kiya


Koi bhi khwaab na sharminda e  taabir huwa
Jaane kya kya yeh dikhaata hai zamana sapne


Kh’ta ho ke na ho ilzaam lage ga tum pe
Koi rishta bhi ab khoon ka rishta na raha


Dein kyun kar ke salah aaj kisi ko ke sambhal
Tu kahega ga bhala,  to bhi bura lage ga usay .
 

Soch das baar agar kehna hai kuch baat tujhe
Zara si der mein ban jaata hai raayee ka pahaad


Jaane kaise mere har raaz ko jaana sab ne
Shayad ke mere ashaar padhe hain sab ne


Main ne har baat to sighaa-e raaz rakha
Mere shaer mere jazbaat ka aaina bane.
 

Yaad rakh mujhko apni duaaon mein rafeeq
Teri duaon  mein  main ne asar dekha hai
 
 

 



 

kuch Ashaar


Un ke aane se main paa leta hoon khushiyan thodi
Wagarna fikron mein ghiri rehti hai yeh duniya meri.


Kahan rehti hai hum ko ab khud ki bhi  khabar
Bhula deti hai sab ko yeh  zamaane ki fikar


Rehta  nahin  hai  yaad  mujh  ko  ab amal mera
Mere haafize pe nahin chalta hai ab dakhal mera


Huway hain Umr ke is muqaam pe ab sab door door  
Dekh ke jaata hai  ab door mujh se haafiza bhi mera



Kareinge ge dher si baatein milenge jab hum aur tum
Bas ek kaam yeh karna mobile na saath laana tum


Guzar  rahe hain pal ban ke din, hafte, mahine aur saal
Kuch bhula dena hai behtar,  kuch ki yaadein be misaal


Karte hain zulm aisa ke dil mein basay  hain woh
Rehte hain ab wo door door kehne ko hain azeez


Bichde hain tukde dil ke, yeh duniya ka hai kamaal
Zinda hain is ummeed pe ke jald  ho ga phir wisaal


Tum yaad rehtay ho magar hain tehreer se qaasir
Hain masroof itne kaam mein ke bas nahin chalta


Jatan koi kaam na aaya mera unko manaane mein
Na khidmat , na rishwat , na qudrat  aur  na qismat