Saturday, October 25, 2014

ASHAAR


Mein insaan adna ,  aap ki shaan aala
Mein naacheez hasti , aap buland aur baala
Mujh gunehgaar ko  Madeena bula lo
Dua meri sun le  Allah subhaan wa taala.
 
 
---- 


YEH DUNIYA LAGE IS LIYE MUJH KO ACHCHI

KE AAQAA NE MERE YAHAN PAAON RAKHA


-----


Bata gaye raah  , jo bataane thay  waale

Karein kya agar wo bhatakna jo chahein

--


Ab mushkil hai logon ko yeh  batlaana

Karoge bura ,to phir  bura hoga  paana

Samjhte sabhi kya bura kya hai achcha

Jaan kar ab buray kaam karta zamaana

 

DOST KO MAIL NA LIKHNE PE DHAMKI MAZAAQ MEIN --TIME PAAS


Na dekha na bhaala tu bola,  Aye Laala
ke ab to nahin rukne wala mein Laala
Tera mail kal tak mila na jo mujh ko
Tere haath todne mein aaoonga Laala

Yeh jaanu mein karta hai tu  kaandi kaala
apun bhi Mukadam agar tu hai Laala
Panga na lena  tu mujh se nahin to
nikaalunga Laala , mein tera diwaala 

Mein ne hai khud ko ab tak sambhaala
Wagarna hoon kaisa jaane  tera Saala                               (  Brother in law..gaali nahin )
Darta nahin hoon phir mein bhi kisi se
Mein rakhta hoon chaaku Rampur waala

Jhopadpatti ki sab Maa Behan aur Khaala
Yehan sab hain jaane mujhe Gora Kaala
Bakhshta nahin mein kisi ko kabhi bhi
Meri baat ko agar sun kar ke  taala 

Ungli teri key board pe rakh,  Aye Laala
Warna na kehna , kaat  ungli  kyun daala
Ghusse mein mujh se chal jaata hai chaku
Soch ungli na rahi to,  na banega niwaala 

Jaa bakhash diya tujh ko mein hoon dilwaala
Chal hoja tu ab khush band kar apna naala
Jab ho teri marzi mail likhna mujhe tu
Yaad rakhna tu ,  kis se pada tera paala

ASHAAR


Apne wajood ko samajh shukr Allah bol
Shumaar tera hota hai nek bandon mein

--

Duaon ke zor pe chalti hai zindagi
Warna kahan bisaat ke ek pal koi  jiye

---

Sune baghair kisi shakhs ko na jhutla tu
Kya khabar ke nikal aaye naiki ka pehlu

--

Apne  tasawwur ko tu  yaqeen mein na dhaal
Ke wo hota nahin aksar jo tha socha hum ne.

-- 

Piye  bin hi  mera  ab hosh  kho gaya hai
Qalam tha kya karna aur kya ho gaya hai.

---

Dekh phir aaj behka yeh qalam hai
Dawaat mein ghalti se kya daaru hai daal di

----


Jo ho haasil hamein dekna mausamon ka
To hum sirf Bambai ki baarish ko dekhein

AAZAADI


Jaane kab tootein  zanjeerein mile aazaadi
Jaane kab hoga qafas ka ye parinda aazaad  

Jaane kab taale khulein ge zehan ke mere
Jaane kab hoga  yeh murda dil ZINDA  aabaad 

Jaane kab hogi pehchaan mujhe logon ki
Jaane kab mein reh sakoon ga  shaad baad 

Jaane kab hogi muqaddar mein mere khushiyaan
Jaane kab hoga haasil mujhe kehna zindaabad 

Jaane kab dil mera dhadhke khud apni  marzi
Jaane kab paayega sukoon yeh aadam zaad

 

TO KYA


Door manzil hai ,agar qadam thake to kya
Bojh bahut sar pe agar badan dukhe to kya
Shukr kar ke tu zindon mein hai kyun ke
Jo chal rahi hai zindagi yeh agar ruke to kya.
 

Zamaana zalim hai ye sar na jhuke to kya
Koi madad ko nahin, log hain ruKHe  to kya
Kisi se tu koi achchi  ummeed  na rakh
Khud pe ho eitmaad, haalaat be-tuke to kya
 

Dushman karein aapas mein muk muke to kya
Tera apna  koi  tera khayaal na rakhe to kya
Tu maanoos hai is duniya mein tanhaayee se
Bik gaye tere saathi, saath na koi tike to kya
 

Humsafar bichde koi rahbar na dikhe to kya
Qismat agar teri kaamyaabi na likhe to kya
Kaat zindagi apni tu ab be fikree se yehan
Is  daur mein gar ab sabaq na seekhe to kya

Ashaar


Dua dete hai jo wo gaali bhi kabhi dete
Haalaat zindagi ke ek jaise kahan rehte

--- 
 

Dono hi kaam mushkil  hain  aaj duniya mein
Haq ka talab karna aur doosra is ka ada hona

--


YEH BERUKHI SI DUNIYA HAIN LOG YEHAN FITNA
BAN KE UDAAS PHIR TU KYUN BAITHA HAI YEHAN ITNA

--- 


HAQEEQAT  

Umr badhi , ab yaaron padhI aankhein dhundhali
Bhoola mein maazi,  huweein  yaadein dhundhali

 
FALSAFA 

Mila kar matti aur paani ko guunda hai jise
Dhale kyun na phir Insaan,  jaisa tu dhaale


---

Gumnaami mein huwa yeh naam kaisa
Dekh ke milta hai mujh ko inaam kaisa

-- 


Kaise kisi baat ko mein yaqeenan keh doon
Dekh rehti hai yehan roz  pas – o – peshi  si

Friday, October 17, 2014

TUMHARA SAATH

Badnaseebi ka ho har taraf jab daur-o- dauraa
Jo agar ho saath tum taqdeer badal jayegi
Manzar burey khwaabon ke kyon na kitney hi hon
Thamo mera haath tum takbeer badal jayegi

BEDARD ZAMAANA

NAA AANKHON MEIN HAI REHAM NAA HI DILON MEIN IN KAY DARD HAI
TERI TAKLEEFON KO KYA JAANEY YEH ZAMAANAA BADA BEDARAD HAI
--------

KISI KO KABHIE KOI BAAT ASAR NAHIN HOTI
KOI MARTA HAI MAREY KHABAR NAHIN HOTI
HOTI HAIN KUCH RAATEIN BHAYAANAK ITNI
KAY IN RAATON KI PHIR SAHAR NAHIN HOTI

-------

MERI KYA HAI YAHAN HASTI MERA YAHAN KYA MUQAAM HAI
YEH SHAHAR HAI PATHRON KA YAHAN MERA KYA KAAM HAI.


-------

KOI PEHLOO SUKOON KA NAZAR NAHIN AATA
KOI AANSOO KHUSHI KA NAZAR NAHIN AATA
HUM KO NAA JAANEY YEH SAZAA MILI KYON KAR
ABHI GUNAAH BHI KARNA HAMEIN NAHIN AATA
---------

KAB KHUSHIYON BHARA PAL DUKH MEIN BADAL JAAYEGA
KAUN JAANEY YEH KYA LAAYE AANEY WALA KAL JO AAYEGA

APNEY KAAM SE KAAM RAKHO

SAB KAREIN WOHI KAAM JO CHAAHEIN HUM HAIN KARNA
JO RAKEHIN YEH UMMEED DOOSRON SE KHOTEY HAIN WAQT APNA
KARNA HAI JO KAAM TUM KO NAZAR TUM US PEY RAKHO
KARO APNA KAAM TUM DOOSRON PE NAZAR HAI KYON RAKHNA

Good one

Kabhi suraj bhi baadlon mein apni roshni khota hai
Kabhi kitney hi badal chayein roshan suraj magar hota hai
Phir kyon udaas hotey ho gar baadal ghamon ke chayein
Hogi khushiyon ki bhi kabhi baarish kyon tu ab rota hai

ASHAAR

Naaraazgi ka hai khauf samjhaaein to kaise
hamein chutti nahin milti ghar jaayein to kaise
--
Jab hum guzarte gaa ke gali se log kehte besura gala dekh wo gaya
Gaaliyaan kyun na dete log hamein gaate aisa, lagta ke sur kho gaya
Hamein gila nahin kisi ke gale se lekin M. Rafi se yeh gila ho gaya
Bhaiyaa  kyun na de gaya hamein gala us waqt is jehan se  jo gaya
---
Har koi apni marzi ka gaata hai gaanaa aaj
Gaye kahan wo jo karte thay dilon pe raaj
---
Kisi ka  milna  bichdna  hai rakhta itna asar
Mile to bane na mile to mushkil hai zindagi
----
Achcha kya bura kya gunah kya sawaab kya
Jab sawaal hi nahin raha inka phir jawaab kya.
---
Tujh ko rehna hai agar khush to
Bhool sab yaar kaam ki baatein
----  
Hosh ke kaamon mein hum mar mar ke jiye
Deewaangi sikhaati hai sahi dhang jeene ke
--- 
Yeh kaise  jee rahe hain  hum  apni  zindagi
Kis pal mein kab kya ho hamein khabar nahin
YA 
Zindagi hum apni jeete hain phir bhi
Kab kya ho is se be khabar hain hum
----
Apni jaan ko kaise mein apna janoon
Ke di hai jaan jisne wo phir le bhi lega  
--
Nehar bana di,  un ke gulshan ka karobar chala
Magar  humaari pyas ko ek qatra paani  na mila
--
Dua dete hai jo wo gaali bhi kabhi dete
Haalaat zindagi ke ek jaise kahan rehte
-- 
Dono hi kaam mushkil  hain  aaj duniya mein
Haq ka talab karna aur doosra is ka ada hona
--
YEH BERUKHI SI DUNIYA LOG HAIN YEHAN FITNA
BAN KE UDAAS PHIR TU KYUN BAITHA HAI  ITNA
---

Umr badhi , ab yaaron padhI aankhein dhundhali
Bhoola mein maazi,  huweein  yaadein dhundhali
 
--

Mila kar matti aur paani ko guunda hai jise
Dhale kyun na phir Insaan ,  jaisa tu dhaale

 

Monday, October 13, 2014

ASHAAR


 
Hamaare aane pe ghusse se wo laal huwe
Hamaare chehre pe aisa kya likha dekha.


YA


Hamein dekh to wo hans pade  ek dum
Hamaare chehre pe aisa kya likha dekha

DOSTON MEIN


Mera dost to tera dost…
pehle tera dost phir mera dost ,
tu qareeb us ke mein faasle pe,
neki mile usko teri gaali ke sile pe,
hai zikr uska tere har khat mein,
hum ko manaadi rahen hum had mein
usay kuch ho, tu din bhar pareshaan
yehi baatein hum ko karti hain hairaan
jis se tu itni dikhaata hai nafrat
asl mein tu us se karta hai mohabbat

 

 


 

ASHAAR


Bandha hoon itni zanjeeron mein ke azaadi nahin milti.
Banta    hoon itne tukdon mein ke ab joda nahin jaata

--


Yeh  mumkin  kaise ho,   wo ho jaaye ,  jo  tu  chaahe
yehi mumkin hai ,  wo hoga,  jo hone ko,  woh chaahe

---

Ummeed lagaaye   apno se  baitha hai  yeh dil
Maayusiyaan ab is ke muqaddar mein aayeingi
 
---

kaise ab zikr apni bebasi ka un se ho.
Jab Dor itne naazuk rishton ki bandhi ho

--

Lagta nahin guzre gi kabhi saath zindagi
Guzre jo din thay saath na aayeinge phir kabhi

---



Kai kaam hote hain jo bante nahin hum se
Zaahir hai maddad ke liye apno ka rukh ho 

Aata nahin jab kaam  zaroorat pe  koi to
Phir aise rishton pe kaho kaise na dukh ho


---

 

Ghaafil


Allah ne diya hai sab,  ghaafil hai tu in sab se
Tujh ko to puri karni , hawas jo hai tumhaari

Waise to tu hai muslim ,soche hai magar apni
Kahan se hogi  dil mein  imaa’n ki  bedaari

Jazba kahaan se aaye be baak sadaaqat ka
Fareb karta hai tu , lagi  jhoot  ki  beemaari

Is haal mein ab teri , qabool ho dua to kaise
Dhoke diye hain lakhon hain kufr be shumaari

Bigda nahin hai ab bhi , hai wo banaane waala
Toba kar ab tu dil  se, nekiyun ki ho  tayyaari

Kahein ge tab yeh tujh se tujhe dekh ke farishte
kaamyaab hai teri duniya, tu ne aakhirat sanwaari

 

ASHAAR


Teri zaban se nikle jo lafz meetha ho
Aur tera kaam kisi ko na giraan guzre

--

Dil ki haqeeqat mein hai kaarsaazi aur
Jane kyun ishq mein badnaam huwaa

---

Kehne ko hain aazaad phir yeh bebasi kaisi
Kaisi kaisi majbooriyun se bandha hai aadmi

--

Bhoola na hai yeh kuch bhi hai yaad ise ab bhi 
Budha na huwa hai ye samjhdaar hai ye ab bhi
Chahta tha jis ko kal yeh hai  un se pyaar ab bhi
Dil ab bhi dhadakta hai wo do chaar huwe jab bhi

---


Khauf, intezaar-e-nateeja aur mohabbat
Dil dhadakne ke hote hain  wajoohat  kai.
 --- 

Dhoondo ge rangeeniyaa- e- jahaan to doob jaayga dil
Yeh  umr  hai  janaab  har waqt  wazoo  mein  rehne  ki

----

Jo kuch bhi mila hai  , Allah ki  rehmat
Tujh ko wo mila hai  jo tha  teri qismat
Ziyaada ki  lalach, hawas hai buraayee
Us ne jo diya hai tujhe wo teri zaroorat

--

Hain gunehgaar hum tere abd se
Wo de saza ya hamein bakhsh de

ILM


Fitrat mein insaan ko mili hai yehi hikmat
Ke mujh se muqaabil ki na kare koi jur’at
Chahay ye hukumat karoon ban jaaoon khuda mein
Duniya ki haasil karoon ab saari mein daulat

Islaam ne phir hum ko diya Ilme Jamhuriat
Dikhaayee raah ke kya hoti hai insaaniyat
Kiya yeh  faisla  ke barabar ho sab ka haq.
Insaan hain sab tum na karo ilaan-e wahdaaniyaat

Yeh taaleem di ki shukr Allah mein hai barkat
Zara ghour se dekho ke bakhsheein hain kya nemat
Duniya ki   na ranginiyun mein waqt  guzaaro
Paanch waqt namaaz ki din mein karo zehmat

Deen ki raah chalo , karo sirf Allah ki ibaadat
Sudhar jaayeigi zindagi ban jaaye  aakhirat
Kitni hi pade mushkilein hon pareshaaniyan kai.
Himmat na haarna imtihaan leti hai qudrat

ASHAR


Jab Allah negehbaan hai rehbar hai tumahaara
To maze se kaat apni zindagi karta hai fikr kyun

---


Tha daur baghawat ka bane thay baaghi hum
Khudi ka bukhaar tha, Pahne thay khadi hum   
Angrezon ko mulk se bhagaana tha hum ko
Sherwaani pehene kaise kar lete shaadi hum    

---

Bhoola zamaana ab parwaana khudi ka
Kahan yaad kalma ab puraana khudi ka
Besharmi aur be- hisi ka hai daur daura
Kahan mar gaya wo deewaana khudi ka?

---

Keh  gaye wo baat jo thi un ko  kehni
Hum ne to azal se aqal pe patti pehni
Kufr karte hain har ek amal ko aisa rakha
Hai hum musalmaano mein yeh kund zehni.

 ---
MERI BISAAT KAHAN JO MEIN YE QUDRAT SAMJHOON
AQAL HAIRAAN ZEHAN MAAUF AUR ZUBAN CHUP HAI
 
--
 
Gum huwe aise na nishan raha na yaad baaqi
Na kuch pehle raha  na kuch mere baad baaqi
---
Apno se ab lagta hai ajab mil ke
Ab  kaise hanse hum batao khil ke
Jo thay bhai bandhu, ab na rahe waise
Badla taiwar,  rishte badley dil ke
---
 
Aisa afra tafri ka aalam huwa hai aaj
Ke khatra  ‘apno’  se  huwa  hai aaj
Jo thay rafeeq o azeez hamaare kabhi
Un hi se ja ke danga  huwa hai aaj

 
 

ashaar


Yehi to haq hai Dosti ka Doston mein
Ke wo tohmat lagaaein ya ilzaam dein
Kahein baat achchi  to naaraaz hon
Aur sunaayein jo gaali to inaam dein.

----

Maangta hoon wapas, waqt jo guzra tha bachpan mein
Mujhe maalum hai Dunia mein na lautoonga main kabhi

----


NA KAR US PAR BHAROSA TU, TUJH SE JHOOT JO BOLE
KARE JO AITMAD TUJH PE US SE KYUN JHOOT TU BOLE

---

Sukoon barbaad kar ke apna hum baithe hain mehfil mein
Kaha kis ne tha yeh hum se ke tanhaayee mein dum nikle

--

Milti hai khushi hum ko , achche kaam mein magar
Kehte hain buray kaam ka hota hai maza aur.

---

Ab tak na mili manzil gaye mar thak haar hum.
lo nakaam chale duniya se zindagi guzaar hum
 
----

Jaise mile jahan se mile mar rahi hai ye kamaane paise
Is haal mein ab tu hi bata ye qaum zinda rahe to kaise
---


Marey jaate hain hiras mein hawas mein ab
Bahut  mushkil  hai  is  qaum  ka zinda rehna.
---

Door thay itni der se ab milna ajab sa lagta hai.
khaamoshi ko apni zaban dena ajab sa lagta hai


 

ASHAAR


Kahan zinda hain hum ,  mar  gaye  hain  jeeteji  kab  ke
Dhadakta dil, khuli aankhein, nahin zaamin hain jeene ki

-------
 
Kabhi aazaad phirte thay,  na socha zimmedaari ka
Padi jo zimmedaari to, kahan hai waqt kuch sochein ---
 
Zimmedaari , rishtedaaron ki ho  ya  ho  gahiron  ki
Khayaal apno ke sang rakhte hain hum paraayon ka
--

Hamein gila nahin kisi ke gale se phir bhi
Gila Rafi se hai ke kyun wo le gaya gala

----

Hai fikr uski Jo guzar raha , jo guzar gaya wo bhulaa diya
Mujhe maazi ka nahin yaad kuch mera haafiza kamzor hai

----

Chaahe Urdu ho ya ho Faarsi chaahe bole wo Turki zubaan
Mere waste wo  shireen sukhan  ise log  samjhe ge  kahan

-----

Gum hai sharm duniya se jo marzi hai karo jaisa
Kyun Ungli uthaaein ge hum, hamam mein sab nange

---

Zamana kahan aisa jo Mulla naa jhoot bole
Darvesh ke hai ghar mein tijori munh khole
Sultan  hain  ayaash dil in ka har waqt dole
Sipahi ko mile rishwat band rakhe apne dole

---

Unki aadat hai ke wo suntay nahin meri
Eid manaayein ge hum Jis din wo baat maane


 

ASHAAR


Dard apno ka apnaaya aur us pe chubhti baatein
Jo sah raha hai tu yehan,   hota hai sab ke saath

--

Mein “ heera’  hoon jis pe na rang-e duniya chadhe
Nahin “Paani”  ke jis mein milaaya,   ban gaya waisa

--


Khud  hi hain poori karni jo khwaheeshein  hein meri
Khwaabida tamanna ko kisi aur mein kyun dhoondun

---

Jise kehta rahe hum saari umar ko achcha
Ab usko bura kehna hamein bura hai lage

--


Kahein ge hum bura usay , to na ghatega woh
Aur na badhe gi izaat hamaari   is buraayee se

--

Hamein maalum na tha kya hai rishta dil ka aankhon se
Pata hum ko chala jab dil yeh toota aur aankh bhar aayee
 
---

Tu hai taareef ke qabil,  likhun   kya  waaste tere
Ghazal teri Nazm teri , hain qaseedey waaste tere

---

Jaise ho  chale aao,  yaa  aa  jaao  sanwar  kar  tum
Hamein har haal mein soorat tumhaari pyari lagti hai

 

Sunday, October 12, 2014

ASHAAAR


Kehte hain ek saa nahin rehta hai kabhi Waqt
Yeh jaan kar bhi Dil na behlta kabhi kambakht

----

Bikte hain kuch log yehan kodiyuon ke mol
Zameer  ne  kabhi  is  ki  ijaazat  na  di  hamein
 
---
Khaaksaar hoon  sharmaata hoon  taareef  jo sun loon
Mein ne samjha hai ab tak tifle maktab aap hi khud ko

----

Chalo dar guzr  karte hain hum  har khata  teri
Hum jaante hain karta nahin hai jaan kar ke tu

-----

Yeh adaab hain adab ke is haath deta hoon us haath leta hoon
Wo salaam karte hain mujh ko,   mein duaayein deta hoon

---

Yeh kaisi badtamizi,  hai ikhlaaque yeh kaisa
Dete hain gaaliyan hamein, ghairat nahin aati

---

Tanqeed kyun ki mein ne,kis ne diya tha ye haq
Afsos mein hai dil ab ,  pachtaawa liye baitha

--- 

Socha tha ke ab unko   hum deinge gaaliyan
Dekha jo chehra unka taareef hum kar baithe

--

Mila jo bande ko us ka wo shukr nahin karta
Wo dekhta hai ke doosre ke paas kya kya hai