Kehte hain ek saa nahin rehta hai
kabhi Waqt
Yeh jaan kar bhi Dil na behlta kabhi kambakht----
Bikte hain
kuch log yehan kodiyuon ke mol
Zameer ne kabhi
is ki ijaazat na di hamein
---
Khaaksaar hoon sharmaata
hoon taareef jo sun loon
Mein ne samjha hai ab tak tifle
maktab aap hi khud ko
----
Chalo dar guzr karte hain
hum har khata teri
Hum
jaante hain karta nahin hai jaan kar ke tu
-----
Yeh adaab hain adab ke is haath deta hoon us haath leta hoon
Wo salaam karte hain mujh ko, mein duaayein deta
hoon
---
Yeh kaisi badtamizi, hai ikhlaaque yeh kaisa
Dete hain gaaliyan hamein, ghairat nahin aati
---
Tanqeed kyun ki mein ne,kis ne diya tha ye
haq
Afsos mein hai dil ab , pachtaawa liye baitha
Socha tha ke ab unko hum deinge gaaliyan
Dekha jo chehra unka taareef hum kar baithe
--
Mila jo bande ko us ka wo shukr nahin karta
Wo dekhta hai ke doosre ke paas kya kya hai
No comments:
Post a Comment