Saturday, September 6, 2014

NAZM O ZABT :-)


Bhula deta hai sab,  yeh afkaar- e subh o shaam
Mila hai waqt to  kyun na  loon mein tera naam
 
Maanaa   ke dega maafi tu,  chaahe jo mein karoon
Lekin jo mein ghaafil hi raha, to yeh bhi hai  haraam
 
Koshish yehi rahegi ,  rakhoon mein khush tujhe
Chaahe bhale pukaare karein sab mujhe Ghulaam
 
Hum ne to  dard-e-dil   ka na shikva kiya kabhi
Phir kyun karein hum is ki dava ka bhi intezaam
 
Rehta hoon is jegah mein  jahan saudagar hain sab
Bikta hai yehan har nafas kyun kodiyuon ke daam
 
Guzra zamaana meri  thi jo haalat  wohi rahi
Ab tere haath hai yeh badalna mujhe tamaam

 
 

 


 

No comments:

Post a Comment