Baat jo bhi kahi, hai
darja-e khutba liye
Kaam hai aisa rakhega
saahib -e rutba liye
Fikr hai kis baat ki ,
baant’ta taaleem hoon
Jab talak ho jaan , yeh jeeta rahoon jazba liye
Milne aatey hain
, sabhi jaante hain ghar mera
Phir kyun darwaaza mera ho band ab kutba liye
Rakhoon mein
daulat ye aisi koi loote na jise
Aur na dushman ka
darr hoga khada qabza liye
Hoon Saba aisi, jo chaaye har taraf
khushbu liye
Baagh hoon aisa jo har mausam mein ho sabza liye
Noor hoon khud, roshni se ye jahaan roshan karoon
Hoon nahin mein Chaand jo hai Shams se qarza liye
No comments:
Post a Comment