Dekha nahin Dubai sa , hum ne kaheen shahar
Tha rait ka Dera jahan
aur charon taraf bahar
Rehne ke yeh qaabil nahin,kehte thay sabhi
log
Garmi ka tha basera
jehan shaam aur Sahar
Thi paani ki qillat
yehan aur na thay shajar
Padhayee ke liye bachche karte thay safar
Aatey thay sabhi log yehan rozi
ke liye
Kachche makaano mein hota guzar basar
Ho rahi thi traraqqi magar dheema tha asar
Jeeti thi zindagi jaise ho jaaye
bas guzar
Phir aayee tabdeeli yehan ek dum se achanak
Sk Muhammad ne apnaayee Sk Zayed ki dagar
Huwa daur shuru kaamyaabi ka phir is qadar
Badla yehan ka naqsha banay naye
ghar
Banaaye hawaee adday, raahein nayee banee’n
Khush’haali taraqqi thi jidhar dalo
nazar
Ab paani ka na masla
na garmi ka hai qahar
Padhne ab log aate yehan college hain beshtar
Imaartein bani hain nayee sab hain laajawaab
Aspataal bhi hain ab Dubai
mein kai moatbar
Har zariya safar ka mile chale jaao tum
jidhar
Metro Tram Taxi aur Bus , intezaam hai is qadar
Paani ki taxi hai yehan samandar
ki sair ko
Desert Safari ke liye hain Sahra ke samander
Qanoon aur tarbiat yehan sab se hai behtar
Jurm kum hain , kisi ko lagta nahin
hai darr
Hifaazat ko police hai khadi yehan
raat din
Eve teasing pe padte hain kode
peeth par
Sonay ke bazaar, bikein heeray moti ke zevar
Kapdon ki dukaanein jahan sale laghti hai aksar
Hain madad ke waaste kai Banks aur Institutions
Lete hain bahut kum munaafa paise yeh dekar
Har mulk ka banda yehan maalik hai ya naukar
Sab ko milta kaam yehan, koi khaaye
na thokar
Sukoon se hota kaam yehan ladta nahin hai koi
Rozi Roti milti sab ko yehan khoob sair hokar
Khalifa tower hai khada yehan kar ke ooncha sar
Banaaye kai hain yehan pe Palm Island se nagar
Huwa har ek kaam mein hai
naam Dubai ka
Dubai kehta har koi gar poocho jaana hai kidhar
Jaate thay khel
dekhne hum door dar badar
Phir Dubai bana
international tournaments ka ghar
Karaaye kai world cups
yehan ghodon ki race ke
1986 Olympiad Chess ka markaz
tha Trade Centre
Athens Olympic 2004 Gold
medal jeeta ban ke shooter
Wo shooter hain Ahmad bin
Mohammad bin Hasher
Yeh pehla Gold
Medal tha jo Dubai U.A.E. ne liya
Al Maktoum ruling
family ke Ahmed hain member
Shaikha Maitha ne jeeta Gold
Medal ban ke boxer
Maitha hain Sheikh Mohammad
ki Pyaari Dukhtar
2005 Cyprus Kick Boxing ka
International tha muqabala
Kiya kamaal UAE
ne kul chaalees medals jeetkar
Sk Hamdan, Maktoum, Ahmed,
Mansour aur deegar
Sab bachchon ka
Dubai ke liye bas ek nazriya e fikar
Ho
kaam naya aisa jis se ho naam
Dubai ka
Is ko banaane behtar wo
rakhte hain khud nazar
Ab hum sab hain
saal 2020 ke aane ke muntazer
Duniya
se tha muqaabla EXPO 2020 ka sakht
tar
Jeeta
Dubai ne yeh bhi aezaaz, hai yeh badi baat
Tayyaar
ho rahi hai Dubai baandh ke kamar
Waise to Dubai
hai kai organsations ki founder
Ab madad wo karti hai un ki
jo hain generation younger
Sk Hamdan bin Mohammad bane
hain Chairman Jiske
Wo hai Mohammad bin Rashid
Est.for Young Business Leader
Duniya
mein hai Dubai ka, ab pehla number
Hai
naam Dubai ka likha har ek record
par
Har roz naye hote hain exihibitions Dubai mein
Sk.Muhammad ne Dubai ko kiya khub se khub tar