Sunday, March 22, 2015

HAALAAT - (AZAD BAHAR MEIN)




Hum laayein kahan se wo hamdard aisa

Kabhi Dil jo chaahe ke hans bol lein hum

Zamaana huwa hum ko thatt tay lagaaye

Hum  shaayad kisi baat pe muskuraaye

Na waqt saath de ga na ye haalaat honge

Ke furqat se kisi ki   hum mehzooz honge

Hamein  kya  khabar thi  faraiz  ke  badle

Qurbaaniyaan apni yun badhti raheingi

Jab  sochein  sila  kaar  guzaari  ka  apni

Jo hum ko  yehan apne ghairon se milta  

To aatay  hain harkat mein aasaab mere

Labon  ko to hai mere ek  chuppi  si  lagti

Zubaan phir hai meri yeh khaamosh rehti

Tab  rota hai Dil  paani  aankhon se behta

Ye  sab hone pe bhi  hai  Dil  mera  kehta

Dhadakta hoon mein sirf qurbaaniyun se

 

 

No comments:

Post a Comment