Sunday, March 22, 2015

safar zindagi ka


Har umr ke mukhtalif zamaane hote hain

Samjhte hain sab phir bhi bataane hote hain

Hum sab yehan mehmaan hain to kya huwa

Zindagi jeene ke laakh bahaane hote hain

 

Bachpan ke din sab se suhaane hote hain

Shararat karne ke kai bahaane hote hain

Har taraf se suntay hain naseehat ki baat

sabhi ko hamein sabaq sikhaane hote hain

 

Jaawaani  ke din hum deewaane hote hain

Is zamaane ke dilchasp   fasaane hote hain

Badi badi ghaltiyaan bhi tab lagti hain sahi

Ehsaas  hota hai jab din puraane hote hain

 

Budhaape mein jaa ke hum siyaane hote hain

Is umr mein sabhi bigde kaam banaane hote hain

Buzurgi  ka ghuroor chaaya rehta hain zahan pe

Tajurbe saare  bachchon ko sunaane hote hain

 

No comments:

Post a Comment