Sunday, March 22, 2015

ashaar


Maayoos thay hum logo ki harkat ko dekh ke
Maanoos hain  ab  saare zamaane  ke haal se

----

Hai qarazdaar mere jism ka har aasaab tera
Bada hai khaufnaak Maula mere azaab tera
Huway gunah hain mujhe se aye Rahim mere
Mujhe yaqeen hai na karega tu hisaab mera
---------
 

Maaf hain wo “ ghaflat “jo naadaniyun mein kien
Ab jo” ghaflat “ karte hain hum anjaam us ka kya.
-------------

Baitha tha beeti baton ko bhulaane ke waste
Tujh ko bhula na paaye , ye koshish fuzool ki
-----------------
 
Karte hain zulm aisa ke dil mein basay  hain woh
Rehte hain ab wo door door kehne ko hain azeez
----------
 
Bichde hain tukde dil ke, yeh duniya ka hai kamaal
Zinda hain is ummeed pe ke jald  ho ga phir wisaal
 ---------------
 
Hum ne dhoonda hai har mushkil ka hull
Tu ne bakhshi hai jab ilm ki daulat hum ko
----------------
 

Dhang ka danka wo peet’te hain kehte hamein be dhange
Ab kya kahein un se is zamaae ka jehan hamaam me sab nanage
------------------

Koi gurez nahin tum  ko ye bataane mein
Koi dhang ka nahin hai  is zamaane mein

No comments:

Post a Comment