Sunday, March 22, 2015

kuch aur ashaar


Jo dekhti thein aankhein hamein aaj jhuk gayein
Dil   tootne  ka  hum  ko  ishaara   ab   mil   gaya
--------------------

Parde mein hain wo aur hamein dekhne ka shauq
Parda na kar sake magar dil chaak kar liya.
----------------

Kya sunein un ki, ab woh moatbar na rahe
Hum ne har  baat  pe jinki tha  aitbaar kiya
-----------------

Dost hai tu  mera  aur dushman si hai fitrat
Yeh kaisi kaifiyat hai,  mohabbat hai na nafrat
---------------------

Kehte hain qanoon andha hai hota
Pata ab chala ke banaate hain andhe
----------------------

KAMBAKHT YEH KAISA DAUR AAYA HAI UMR KA
HOTI HAI HAR EK KAAM KE KARNE MEIN BEZAARI
----------------
Na zor khud pe chale apna , na apno pe paraayon pe.
Samjh mein kuch nahin aata ye aakhir  bebasi kyun hai
--------------- Jahan  milti hai  naakaami  
Jab  anjaam  naayaabi  sa  ho
Tab hoti hai yeh khwaahish
Ke yeh kar loon mein wo kar loon
Tabhi uthtay qadam bhi hain
aur mazil  Masjid hoti hai
Bhulaaya jis ko tha hum ne
Khuda wo yaad aataa hai
--------

Dil ki sada kuch hai ,Zehan kuch aur kehta hai.
Yehi wo kaifiat hai jo hamein jeene nahin deti
------

Yeh hum mein koi tabdeeli kyun nahin aati
Hum jo thay kal waise hi aaj kyun hain lagte
Kya waqt ki tabdeeli hamaare liye nahin bani
Yaa hum hi hain jo waqt ke saath nahin chalte
------------


 

 

No comments:

Post a Comment