Sunday, March 22, 2015

wo din- college ke


 
Sab se alag thalag  hota college ka yeh  daur

Na  hoti paabandi koi,  na chale  kisi ka zor

 

Muqaddar  hai  cheez  kya na jaane yeh  koi

Fikr kise Naseeb kab jaaga ya hai qismat soyi

 

Karte apni mann maani jo maani dil ki maani                              

Hota College ka gulta bahaane yaad zubaani

 

Dil lagta na padhayee mein to yeh hota aksar

Dil maar ke baithay rehte, sunte boring lecture                               

 

Shauq lagte sab achche na nazar aati buraayee

Ghaltiyun pe hanste sab  ho apni ya paraayee

 

Dost kuch bane naye   saath thay puraane bhi

Kuch sharir aur shareef to kuch deewaane bhi

 

Kabhi khaana hotel mein hota  kabhi gol kar jaate

Paise kahan hote itne  hum roz pait  bhar  khaate  

 

Waqt guzarta hans bol ke sab khushi se jeete

Fikr bas ek baat ki rehti waqt na ab ye beetay

 

Hota hai kya Ishq is daur mein jaante thay sabhi

Kuch ne kiya aur nibhaaya aur kuch ne na kabhi

 

Gaye sur  school  ke , college  ke wo geet gaye
Kab  aayein  hain  palat  ke wo,  din jo beet  gaye

No comments:

Post a Comment