Sunday, March 22, 2015

HAALAAT


Hum laayein kahan se wo Hamdard aisa

Dard mera  lage  jis ko   apne  dard jaisa

 

Kabhi Dil jo chaahe ke hans bol lein hum

Jo raaz hain apne unhein khol lein hum

 

Zamaana huwa hum ko thatt tay lagaaye

Yaad aata nahin , thay kab muskuraaye

 

Na waqt saath de ga na  haalaat honge

Ke furqat se kisi ki   hum mehzooz honge

 

Hamein  kya  khabar thi  faraiz  ke  badle

Hongi qurbaaniyaan har qadam pe  agle

 

jab sochein sila apni qurbaaniyuon ka

To paaya hai tohfa pareshaaniyuon ka

 

Jo hum ko  yehan apne ghairon se milta

Sunaayein hum kaise  kaleja hai hilta

 

Labon  ko  hai mere ek  chuppi  si  lagti

Zubaan phir hai meri  khaamosh rehti

 

Tab  rota hai Dil  paani  aankhon se behta

Ye  sab hone pe bhi  hai  Dil  mera  kehta

 

Dhadakta hoon mein sirf qurbaaniyun se

Pareshaan  na  ho  tu    pareshaaniyun se

 

No comments:

Post a Comment