Friday, March 27, 2015

MY DUBAI


Dekha nahin Dubai sa ,  hum ne kaheen shahar

Tha rait  ka Dera jahan  aur  charon  taraf  bahar

Rehne ke yeh qaabil nahin,kehte thay sabhi log

Garmi  ka  tha  basera   jehan  shaam   aur  Sahar

 

Thi  paani  ki  qillat  yehan aur  na thay shajar

Padhayee  ke liye  bachche  karte thay safar

Aatey  thay  sabhi  log  yehan  rozi  ke  liye

Kachche makaano mein hota  guzar  basar

 

Ho rahi thi traraqqi magar dheema tha asar

Jeeti  thi  zindagi  jaise  ho  jaaye  bas  guzar

Phir aayee tabdeeli yehan ek dum se achanak

Sk Muhammad ne apnaayee Sk Zayed ki dagar

 

Huwa daur shuru kaamyaabi ka   phir is qadar

Badla  yehan  ka  naqsha  banay   naye  ghar  

Banaaye hawaee adday, raahein nayee banee’n

Khush’haali  taraqqi  thi  jidhar dalo  nazar

 

Ab  paani  ka  na masla  na garmi  ka  hai qahar

Padhne ab log aate yehan college hain beshtar

Imaartein bani hain nayee sab hain laajawaab

Aspataal bhi hain ab  Dubai   mein  kai  moatbar

 

Har  zariya safar ka mile  chale  jaao tum  jidhar

Metro  Tram Taxi aur Bus , intezaam hai is qadar

Paani  ki  taxi  hai  yehan  samandar  ki  sair  ko

Desert Safari ke liye  hain   Sahra ke samander

 

Qanoon  aur  tarbiat yehan  sab se hai  behtar

Jurm  kum hain ,  kisi  ko  lagta  nahin  hai  darr

Hifaazat  ko  police  hai  khadi  yehan  raat  din

Eve  teasing  pe  padte  hain  kode  peeth   par

 

Sonay ke  bazaar,  bikein heeray moti ke zevar

Kapdon ki dukaanein jahan sale laghti hai aksar

Hain madad  ke waaste  kai Banks aur Institutions

Lete hain bahut kum munaafa paise yeh  dekar

 

 

Har mulk ka banda yehan maalik hai ya  naukar

Sab ko milta kaam yehan, koi khaaye na thokar

Sukoon se hota kaam yehan ladta nahin hai koi

Rozi Roti milti  sab ko  yehan  khoob sair hokar

 

 

Khalifa tower hai khada yehan kar ke ooncha sar

Banaaye kai  hain  yehan pe Palm  Island se nagar

Huwa   har  ek  kaam  mein  hai   naam Dubai  ka

Dubai  kehta har koi gar poocho jaana hai kidhar            
       

Jaate  thay  khel   dekhne  hum door  dar  badar

Phir Dubai bana international tournaments ka ghar   

Karaaye kai  world cups yehan  ghodon ki race ke

1986 Olympiad Chess ka markaz tha Trade Centre

 

Athens Olympic 2004 Gold medal  jeeta ban ke shooter

Wo shooter hain Ahmad bin  Mohammad  bin  Hasher

Yeh  pehla  Gold Medal  tha  jo   Dubai  U.A.E.  ne  liya

Al Maktoum  ruling  family  ke Ahmed hain   member  

 

Shaikha Maitha ne jeeta Gold Medal ban ke boxer

Maitha hain Sheikh Mohammad ki  Pyaari  Dukhtar

2005 Cyprus Kick Boxing ka International tha muqabala

Kiya  kamaal  UAE  ne  kul  chaalees  medals jeetkar

 

Sk Hamdan, Maktoum, Ahmed, Mansour aur deegar

Sab  bachchon  ka Dubai ke liye bas ek nazriya e fikar

Ho   kaam  naya aisa   jis  se  ho  naam  Dubai  ka

Is ko banaane behtar wo rakhte hain khud nazar

 

Ab  hum sab  hain  saal  2020  ke  aane  ke  muntazer

Duniya se  tha  muqaabla  EXPO  2020   ka  sakht tar

Jeeta  Dubai  ne  yeh bhi aezaaz,  hai yeh  badi  baat

Tayyaar  ho  rahi  hai  Dubai  baandh  ke  kamar

 

Waise to  Dubai  hai  kai  organsations  ki  founder

Ab madad wo karti hai un ki jo hain generation younger

Sk Hamdan bin Mohammad bane hain Chairman Jiske

Wo hai Mohammad bin Rashid Est.for Young Business Leader

 
    
                     

Duniya   mein   hai  Dubai ka,  ab  pehla  number

Hai  naam  Dubai  ka likha   har  ek  record  par

Har roz naye hote hain  exihibitions  Dubai mein

Sk.Muhammad  ne  Dubai   ko  kiya khub se khub tar

 

 

 
 

No comments:

Post a Comment