Sunday, March 22, 2015

BACHELOR- PURAANE DIN


Thi sohbat doston ki   ,  tha  rang bhi chada unka

Koshish  har  koi  karta  tha  karne  chaalbaazi  ki

 

woh thay puraane din, bhulaana tha jinhein mushkil

Baithe laffaaziyaan karte , kahin baithak  baitbaazi ki                              

 

Na hi koi kaam tha  karna na  sar pe  thupa  tha  farz

Thalway thay, jaante tarkeebein sab dilnawaazi ki                                 

 

Kabhi jaate thay cinema  , kabhi  ki sair baaghon ki

koshish hi na ki hum ne kabhi  ban’nay namaazi ki

 

Jaane kab beeta bachpan aur hum huway jawaan

Zaroorat hum ko bhi padi phir is umr mein qaazi ki                                

 

Kaha maana hum ne kisi ka  aur jaldi se  haan kardi

Zaroorat hi na padi   un ko,  hamein  karne  raazi  ki

 

Khushi phir phur se udkar jaa ke boli  khuda hafiz

Mein ab khayaal hoon tera  ,hoon cheez  maazi ki

 

Ab ek jaal mein phans ke talaash e Mujrim karte hain

Pata  ab  tak  na  chal  paaya  yeh  kis ne  jaalsaazi  ki

No comments:

Post a Comment