Saturday, October 19, 2019

AZAD POEM

Tere safar mein tera dukh hi hamsafar hai tera
Ghairon se dilaase hi  tujhe miltay  hain
Tasal lee bhi faqat  apne hi  to dete hain
Aisa nahin ke unko nahin khyaal tera
Magar unke saath bhi  hoti hai lagi majboori
Yehan majbooriyun ka bojh sabhi dhaate hain
Yehi  bojh hi  apnon se alag hai karta
Hoti kahan hai is mein kisi ki ghalti
Lekin Qusur ban ke kisi ka ye ubhar aata hai
Koi rishta phir kisi rishte ko nahin bhaata hai
Aur dosto ko bhi phir dost buray lagte hain
Akele aana aur akele jaana ek haqeeqat hai
Har ek apni alag taqdeer liye aata  hai
Jo muqaddar mein laaya hai wo hi milta hai
Ummeed   hum kisi se kyun  laga baithein
Aur phir maayusi ka dard liye shikwa karein
Jaise guzarti hai guzaaro Rab se rishta jodo
Koi bhi waqt ek jaisa kabhi nahin hota
Chat jaayenge baras kar ghamon ke baadal
Khushgawaar fiza ka daur jald hi aayega


POEM


Zamaane ko hamesha ajeeb dekha hai

Khush haal hum ne  ghareeb dekha hai

Kai pareshaaniyan liye yehan ameer hai

Faqeeri ko zindagi ke qareeb dekha hai

 

Har aadmi bana kyun machine phirta hai

Apne aap ko banaaye ghamgin phirta hai

Pata hai har cheez yehan pe hai fana honi

Jaahil bana  dunia mein zaheen phirta hai

 

Gham aur khushi ke paimaane badal gaye

Tha sukun jis mein wo zamaane badal gaye

Har kahawat ab is daur mein huwee ulti

 Adab aadaab ke din suhaane badal gaye

 

Daur e jadeed aaya kahein khush aamdeed

Chala  chalan Net ka rahein masruf shadeed

Dost milte na thay to kabhi baat hi ho jaati thi
Ab na baatein hoti na karein milne ki ummeed