Zamaane ko hamesha ajeeb dekha hai
Khush haal hum ne
ghareeb dekha hai
Kai pareshaaniyan liye yehan ameer hai
Faqeeri ko zindagi ke qareeb dekha hai
Har aadmi bana kyun machine phirta hai
Apne aap ko banaaye ghamgin phirta hai
Pata hai har cheez yehan pe hai fana honi
Jaahil
bana dunia mein zaheen phirta hai
Gham aur khushi ke paimaane badal gaye
Tha sukun jis mein wo zamaane badal gaye
Har kahawat ab is daur mein huwee ulti
Adab aadaab ke din
suhaane badal gaye
Daur e jadeed aaya kahein khush aamdeed
Chala chalan Net
ka rahein masruf shadeed
Dost milte na thay to kabhi baat hi ho jaati thi
Ab na baatein hoti na karein milne ki ummeed
No comments:
Post a Comment