Friday, October 28, 2016

ILM


Fitrat mein insaan ko mili hai yehi hikmat

Ke mujh se muqaabil ki na kare koi jur’at

Sab pe hukumat karoon ban jaaoon khuda mein

Duniya ki haasil karoon ab saari mein daulat

 

Islaam ne phir hum ko sikhaayee Jamhuriyat

Yeh raah dikhaayee hai ,ke kya hoti insaaniyat

Diya yeh  faisla  ke barabar ho sab ka haq.

Insaan bano,  na karo ilaan-e wahdaaniyat

 

Yeh taaleem di , ki shukr Allah mein hai barkat

Zara ghour se dekho ke bakhsheein hain kya nemat

Duniya ki   na ranginiyun mein waqt  guzaaro

Namaz padho ,dekho ke ye zehmat hai ya rehmat

 

Deen ki raah chalo , karo sirf Allah ki ibaadat

Sudhar jaayeigi zindagi sanwar jaaye  aakhirat

Kitni hi pade mushkilein hon pareshaaniyan kai.

Himmat na haarna , imtihaan leti hai qudrat

Friends


Waaqif  hain  har  ek dost  ki  kamzoriyun se hum

 

Aur jaante ke  un mein hain khaamiyan  bhi  kum

 

 

 

Achche aur buray hote hain,  Duniya mein sabhi log

 

Jaise khushiyun ke saath saath, hote hain kai ghum

 

 

 

Duniya mein lagi rehti hain pareshani sab ke saath

 

To ghaflaton pe Dost ki  kyun dhaayien hum sitam

 

 

 

Saathi hain har ek pal ke,   ho achcha ya bura waqt

 

To kyunkar na bharein Dosti  ka  hum phir  bharam

 

 

 

Bichad  jaate hain sab log  yehan,  haalaat ke sabab

 

Sirf dost hain  jo dooriyun mein yaad karein har dum