Friday, October 28, 2016

ILM


Fitrat mein insaan ko mili hai yehi hikmat

Ke mujh se muqaabil ki na kare koi jur’at

Sab pe hukumat karoon ban jaaoon khuda mein

Duniya ki haasil karoon ab saari mein daulat

 

Islaam ne phir hum ko sikhaayee Jamhuriyat

Yeh raah dikhaayee hai ,ke kya hoti insaaniyat

Diya yeh  faisla  ke barabar ho sab ka haq.

Insaan bano,  na karo ilaan-e wahdaaniyat

 

Yeh taaleem di , ki shukr Allah mein hai barkat

Zara ghour se dekho ke bakhsheein hain kya nemat

Duniya ki   na ranginiyun mein waqt  guzaaro

Namaz padho ,dekho ke ye zehmat hai ya rehmat

 

Deen ki raah chalo , karo sirf Allah ki ibaadat

Sudhar jaayeigi zindagi sanwar jaaye  aakhirat

Kitni hi pade mushkilein hon pareshaaniyan kai.

Himmat na haarna , imtihaan leti hai qudrat

No comments:

Post a Comment