Saturday, July 25, 2015

Jab saamne...


Dil ke sehra weeraan aankhon mein

Uljhte khayaalat aur ghuti saanson mein

                                              

Aa jaati hai shaadaabi yeksu

Jab  saamne  aa  jaati  hai  tu

 

Dard bhare geet, udaas saazon mein

Tadapte jaazbaat aur dabi aahon mein

 

Aa jaati hai aawargi yeksu

Jab saamne aa jaati hai tu

 

Toote waade , naakaam iraadon mein

Bujhte ehsaasaat aur chupi chaahon mein

 

Aa jaati hai pukhtagi yeksu

Jab saamne  aa  jaati hai tu

 

Pahaad  se  din,  tanha  raaton  mein

Chubhte lamhaat aur sulagti barsaaton mein

 

Aa jaati hai taazgi yeksu

Jab samne aa jaati hai tu

 

Be chain kaifiat pashemaan raahon mein

Khatakte sawaalaat aur chubhti nigaahon mein

 

Aa jaati hai aasoodagi yeksu

Jab  saamne  aa  jaati  hai  tu

kuch aur


Juda mein kaise rahoon unse,Juday  hain  taar mere  jin  se
Bahaana  EID  milne ka bani, mile na thay , jin se  kai din se

---x---

Hoon masroor main ke hoga vaad e wafa koi
Wa gar na dekh ke haalaat main karta jafa koi

----x----
Nahin milta hai,  bin dhoonde , kabhi bhi  lutf ka lamha
Hum khojate rehte hain , aur khushiyan mil hi jaati hai


----x----
 

Kabhi rehta , hamaare atraaf mein tha , khushiyun ka dera
Ab talaash  karte hain,  woh ghadiyaan ,  jo lagein  achchi
 

---x---


Yeh kaisi be basi un ki hai aur kaisi hai yeh  majboori
Ke bharte thay hum dam jiska wo na milne do qadam aaye

 
---x---

Tere khayaalaat badal dete hain haalaat mere
Jab ho gi   ru ba ru  tu   ,to  kya  kaifiat  hogi

ashaar


KAL KO KYA THA AUR AAJ DEKHO ,KYA SE KYA HUWA
HUM JO JEETE HAIN TO IS KE PEECHE HAI SAB KI DUA

-----x----
 

Itna nahin hai aasaan insaan  se  mile insaan
Ahsaan hai us Rab ka mushkil ko kiya aasaan

 ----x----

Kab kate gein yaaro ye kaam ki masroof aur lambi ghadi
Ke nigaahein bichaaye baithe hain wahan dost intezaar mein

 
----x----


Kya daur tha wo kaafir  jab chaayee jawaani thi
Geeton ko thay hum sunte tasawwur mein liye un ko

 
---x---

 
Hoton ke tabssum aur aankhon ke tarannum se
Hota tha bayaan jo bhi woh  unki  muhabbat thi

 
---x---

Aankhon mein sharaarat thi hoton pe hansi hoti
Behtar wo zamaana tha bachpan hain jise kehte

Kokan


Har taraf chaayee haryaali ghira Sahyadri ki pahaadiyon se
Yeh   Kokan  hai  jehan  saat  nadiyan  guzre  wadiyon se                       saat (7)

 

Jegah aisi  ke jis ka har tukda  , ugaaye  phal  aur phoolon ko
Aur chupaye baitha hai aise khazaane,  jis ka ilm na logon ko

 

Aamon ka raja hai paidaawaar ,  kehte hain jise hapus yehan
Aur hote hain  kaaju,kele , Papayas, jamun  aur chikkus yehan

 

Kokum se hai banta Amsuls yehan   jis ke faayde hain bahut
Jamun, lemon, ramphal, karvande ,aur imli ke yehan hain  darkht

 

Waise to chaawal bhi hai ugta aur Naryal  hain   har  taraf
Paani  se  milti  hai  machli  har   din ,  mahine  aur  baras

 

Hai  wo  jegah  jehan  poshida  qudrat  ke  kai nazaare  hain
Door door se aakar bande yehan chuttiyan apni guzaare hain   

 

Friday, July 24, 2015

MUHABBAT


Tumhari yaad ne tadpa diya hai

Muhabbat  ne  aur kya diya hai

 

Zindagi ko maut ka pata diya hai

Jeene ka dhang ek naya diya hai

 

Hoshmandi ki jegah diwaangi ne li

Hum ne yeh kya tamasha kiya hai

 

Kab tak pareshan phiraein is qadr

Yeh zahar hum ne bahut din piya hai

 

Yeh kaisa hai badla yeh insaf kaisa

Liya dil tum ne aur dard diya hai

Monday, July 20, 2015

kuch aur ashaar


wohi barsaat hai bambai wohi aur hain wohi khabrein
bas  itna  hai ke  in  mein  kahein   ab hum  nahin hote
----X----
PHIRON

Ghareebon ka maal le kar gar dault badhegi

Maaro ge haq to Qudrat ki phir maar padegi

Koi  na  bacha  hai  yehan  anjaam  se  buray

Aayega woh ek din ke  jab  teri  laash  sadegi

 
---X---

KAL KO KYA THA AUR AAJ DEKHO ,KYA SE KYA HUWA
HUM JO JEETE HAIN TO IS KE PEECHE HAI SAB KI DUA

---X---

Kabhi wahshat , kabhi  nafrat, kabhi udaasi, kabhi hasrat

kabhi khauf,kabhi  khushi, kabhi chalke nami aur mohabat

Kai  kaam  hain  Aankhon  ke  karne ke faqat  dekhna nahin

Samajh mein aayega tujhko, jab tu samjhe ga yeh qudrat

----X---

Honge haseen nazaare wahan pe qudrat ke

Waadi-e-sehra ka manzar yehan pe bhi dilkash hai

---x---

Apna to horaha hai garmiyun mein guzaara
Aur wo Koh ki thandak mein din kaat raha hai
----x---

Bahut lateef sahi Koh mein tera rehna
Magar takleef ke maze yehan aur hi hain

 

KUCH ASHAAR


Jab bhi Ejaad koi amal huwa hai
Us amal ka amal bura huwa  hai

---X---


Kaash Rafeeq  mera ghar aaye
Ab ke ummeed Allah bar laaye

--X---

Aaj is daur mein hain nekiyun ke pade bahut laale
Dua  karta  hoon  ke Allah hamaara imtehaan na le

---X---

Nahin hai khauf mujhe is ka  , ke faisle ke din  kya hoga
Mein darta hoon ke gar huwa saamna tera to kya hoga

---X----

Hairat hai hum ab tak na insaan bane
Kai sadiyaan huwein hai yeh jehan bane

---X---

Jo samjha hi nahin Quraan padh ke bhi
Wo zindagi aur maut ko kya samjhe ga

-----X--

Chooteinge  pal wo tum se jis mein chupi hai barkat  
Maah e ramzaan mein  gar lo ge maze neendo’ n ke

 

MAY BE DUPLICATED - AS OLD ONE


Tujhe paa kar maut  zeest mein badle gi nahin

Shamaa har shaam jalegi to kya pighle gi nahin

 

Fana ho jaana jehan mein hai muqaddar sab ka

Khushi ki shaam chalegi to kya dhale gi nahin

 

Har ghadi rehti hain pareshaaniyaan si sar pe sawaar

Ye har maqaam milegi to kya tale gi nahin

 

Har kaam mein uljhti hai taqdeer nisf behtar ki tarah

Ye umr tamaam ladegi to kya bahele gi nahin

 

Me’maar qaum mein tha naam kisi ka awwal

Yeh mere naam chalegi to kya sambhle gi nahin

 

Dard ki gathree ka daaman hamesha chaak mila

Ye har andaam khulegi to kya sile gi nahin

 

SAATH


Ek tera ho saath bas yeh mujhe darkaar hai

In dino ab zindagi be yaar o madadgaar hai

 

Humsafar hote jo tum hoti khushi ki baat yeh

Rah mushkil bhi lage jaise ke yeh hamwaar hai

 

Huweein jab haasil nahin apnon ki hamdardi hamein

Shikwah hum kyunkar karein ghair gar bezaar hai

 

Raat bhar sunta raha logon ki aahein is qadar

Aisa lagta hai yehan har aadmi ghamkhwaar hai

 

Doob jaata hai yeh dil tanhaayee ke aalam mein jab

Teri yaadon ka sahaara ban gaya patwaar hai

 

Un ke jaane se jo tha daur e khizaan har taraf

Un ke aane ki khabar se har chaman gulzar hai.

DOST


Waaqif  hain  har  ek dost  ki  kamzoriyun se hum

Aur jaante ke  un mein hain khaamiyan  bhi  kum

 

Achche aur buray hote hain,  Duniya mein sabhi log

Jaise khushiyun ke saath saath, hote hain kai ghum

 

Duniya mein lagi rehti hain pareshani sab ke saath

To ghaflaton pe Dost ki  kyun dhaayien hum sitam

 

Saathi hain har ek pal ke,   ho achcha ya bura waqt

To kyunkar na bharein Dosti  ka  hum phir  bharam

 

Bichad  jaate hain sab log  yehan,  haalaat ke sabab

Sirf dost hain  jo dooriyun mein yaad karein har dum

kuch ashaar


Koi bhi ek sa hota nahin is Duniya mein
Sab ke apne alag hote hain andaaz yehan

---x---

Dikha ke dhaar ABR ki wo boond boond ruk gaye
Yeh kya tha ke kuch  hi pal  baras ke wo ruk gaye
----x---

Guzre thay kuch mahine par laga kai baras gaye
Ab phir se barasta dekhne paani ko  taras gaye

----x----

Wasie to kai gham hain , duniya mein hamaari
Par Maa ki judaayee ka dukh, sab pe hai bhaari

 
---x---

Mil jaata hai duniya mein nemul badal sab ke
Par Maa ki jegah koi bhi karta nahin poori

----x----

Waise hamein manzoor hain qudrat ke sab qanoon
Par  kaash  yeh  hota  ke  Maa  bachche  na  bichdte

----x----

Wo jo aane ka keh kar phir jo aana bhool jaate hain
Hamein un ko bulaane ke bahaane laakh aate hain.

shayad ke likhi ho


Taari  rahe jo zehan mein din raat wo hai tera wajood

Bhula sake na jise laakh koshishon ke baawajood

 

Teri baatein teri yaadein tere saath jo guzaare lamhe

Ek ek nazar ke hain saamne aur tu la maujood

 

Wo manaazir wo muqaamaat wo raaston ka saath apna

Paa leta hoon takhayyul mein tere aaj khud ba khud.

 

Us mohabbat us ibaadat us qurbaani ke main sadqe

Farishte bhi karein jisko ba adab salaam wo sajood

 

Jo waaqiaat jo haadesaat hote hain ronuma zindagi mein

Thay kabhi haqeeqat e haal hain aaj faqat bood

 

Koshish rahegi meri ke main tujh ko bhool jaaoon

Zindagi haal ki aseer hai zikr- e- maazi be sood

DOORI


Doori ne kiya haal ko behaal hamaare

Kaise guzar rahe hain shab o roz tumhaare

 

Tum thay jo saath zamaana bhi saath tha

Chootay jo tum to choot gaye saare sahaare

 

Laakar bhanwar mein chod diya naakhuda ne ab

Manzil huwi hai door huway door kinaare

 

Jeene ki tujh se aas lagaaye huwe thay hum

Gar tu nahin to zindagi ab kaun sanwaare

 

Dasht ho baagh ho ya ho sahra ya bahar

Guzroon jahan bhi dil mera tujh ko pukaare

ANOKHI KAIFIAYAAT


Kabhi haalaat  mushkil hon to ladne ko  datt  jaaoon

Kabhi ek pal ki ho fursat  to  jee chaahe ke mar jaaoon

 

Kabhi fikron mein raahat ho aur be fikri mein ghabraaoon

Kabhi bechain , to dil khush aur  sukoon ho, to  darr  jaaoon

 

Kabhi hon khushk yeh aankhein kabhi sailab mein paaoon

Kabhi koi bhaaye na apna , kabhi ghairon pe mar jaaoon

 

Kabhi ho kaifiat aisi ke milna sab se main chaahoon

Kabhi mujh ko lage aisa ke milne kyun kar jaaoon

 

Kabhi muskaaoon rone pe , aur khushi mein  ro  jaaoon

Kabhi tanqeed lage achchi aur taareef se biphar jaaoon

kuch aur...


Amal hi na ho jab baat pe to ghalti kahan se ho
Karte hain wahi ghaltiyan jo karte hain kuch amal

----x----
 
Guzre na barkaton ke khushgawaar ye mauqe
Chalta  hai  kahaan  bas,  jo koi  waqt  ko  roke
-----x----

Kar  madad to ummeed e sila na kar
Dost majboor ho to uska gila na kar
Zindagi aasaan lagegi   jeene ke liye
Naadaano se tu har roz mila na kar

----x----

Kabhi  ahsaas  aisa  ho ke  hai  Duniya  badi  sangdil
Kabhi mehsoos aisa ho ke Duniya hai mere dil mein  

 ----x----
 
Waise to duniya mein di jaati misaalein
Jo apni misaal aap hai wo shakhs hai Dilip

----x----

Ubhar aayee zehan mein us ki azmat aur waqar
Jab bhi likha dekha yeh naam kahin par hum ne  

----x----

Lutf bachpan mein bade paaye hain jee jaanta hai
Maar bhi aisi hai khaayee ke jee jaanta hai.

---x---

Mere aane ki hon gien  bas do chaar wajah
Kai asbaab hain jo aane se mujhe roke hain
---x----

Jaanana chaaho ge kyun Mumbai hai mere dil ke qareeb
Yehan  kai  waaqif hain , hamdam aur mere dost bhi hain
----x---

Kya  jaante ho hukm aur darkhwast  ka  faraq
Log hukm maante hain darkhwaast mustarad

 

kuch ashaar


Karary baithe hain hum arzoo tamanna aur  khwaahish
Darr hai hamein ke haath mein sirf hasratein na aayein
  ----x----
Mehmaan aaj kal ab farishte kahan rahe
Aana hamaara hoga inaayat ya phir sitam
-----x-----
 Dilkash bada hai dosti mein sarmastiyun ka rang
Takalluf se baalatar aur tareeqon se bhi be dhang
----x-----
Manzar jo tu ne maazi ka mujh se kiya bayaan
Dabi dabi si yaadein meri phir ubhar gayeein.
-----x-----
kitna mushkil hota hai ek shaer ka banna
lekin jab likhne baitha to bante chale gaye  
----x----
Dil e nazuk pe karte hain sitam roz sitamgar
Yeh jaante hain log ke yeh kuch nahin kehta
----X----
Dekh  ke  halaat  aaj  is  duniya  ke
Dukh hota hai bohut  magar  kya kije
Zamana bana dushman ek duje  ka
Aur khatam Mohabbat ko kiya kya kije
-----x----
Jo bhi diya Rab ne wo mere lye kaafi hai
Ab maangna us se  reh gaya sirf maafi hai
----x-----
Wo to baitha hai liye haathon mein dene ko hamein
hum nahin yeh jaante ke maangana hum ko hai kya