Monday, July 20, 2015

shayad ke likhi ho


Taari  rahe jo zehan mein din raat wo hai tera wajood

Bhula sake na jise laakh koshishon ke baawajood

 

Teri baatein teri yaadein tere saath jo guzaare lamhe

Ek ek nazar ke hain saamne aur tu la maujood

 

Wo manaazir wo muqaamaat wo raaston ka saath apna

Paa leta hoon takhayyul mein tere aaj khud ba khud.

 

Us mohabbat us ibaadat us qurbaani ke main sadqe

Farishte bhi karein jisko ba adab salaam wo sajood

 

Jo waaqiaat jo haadesaat hote hain ronuma zindagi mein

Thay kabhi haqeeqat e haal hain aaj faqat bood

 

Koshish rahegi meri ke main tujh ko bhool jaaoon

Zindagi haal ki aseer hai zikr- e- maazi be sood

No comments:

Post a Comment