Jab bhi Ejaad koi amal huwa hai
Us amal ka amal bura huwa hai
---X---
Kaash Rafeeq mera ghar aaye
Ab ke ummeed Allah bar laaye
--X---
Aaj is daur mein hain nekiyun ke pade bahut laale
Dua karta hoon ke Allah hamaara imtehaan na le
---X---
Nahin hai khauf mujhe is ka , ke faisle ke din kya
hoga
Mein darta hoon ke gar huwa saamna tera to kya hoga
---X----
Hairat hai hum ab tak na insaan bane
Kai sadiyaan huwein hai yeh jehan bane
---X---
Jo samjha hi nahin Quraan padh ke bhi
Wo zindagi aur maut ko kya samjhe ga
-----X--
Chooteinge pal wo tum se jis mein chupi hai barkat
Maah e ramzaan mein gar lo ge maze neendo’ n ke
No comments:
Post a Comment