Karary baithe hain hum arzoo tamanna aur khwaahish
Darr hai hamein ke haath mein sirf hasratein na aayein
Mehmaan aaj kal ab farishte kahan rahe
Aana hamaara hoga inaayat ya phir sitam
-----x-----
Takalluf se baalatar aur tareeqon se bhi be
dhang
----x-----
Manzar jo tu ne maazi ka mujh se kiya
bayaan
Dabi dabi si yaadein meri phir ubhar
gayeein.
-----x-----
kitna mushkil hota hai ek shaer ka banna
lekin jab likhne baitha to bante chale gaye
----x----
Dil e nazuk pe karte hain sitam roz
sitamgar
Yeh jaante hain log ke yeh kuch nahin kehta
----X----
Dekh ke halaat aaj is duniya
ke
Dukh hota hai bohut magar kya kije
Zamana bana dushman ek duje ka
Aur khatam Mohabbat ko kiya kya kije
-----x----
Jo bhi diya Rab ne wo mere lye kaafi hai
Ab maangna us se reh gaya sirf maafi hai
----x-----
Wo to baitha hai liye haathon mein dene ko hamein
hum nahin yeh jaante ke maangana hum ko hai kya
No comments:
Post a Comment