Juda mein kaise rahoon unse,Juday hain taar mere
jin se
Bahaana EID milne ka bani, mile na thay , jin se
kai din se
---x---
Hoon masroor main ke hoga vaad e wafa koi
Wa gar na dekh ke haalaat main karta jafa koi
----x----
Nahin milta hai, bin dhoonde , kabhi bhi
lutf ka lamha
Hum khojate rehte hain , aur khushiyan mil hi jaati hai
----x----
Kabhi rehta , hamaare atraaf mein tha , khushiyun ka dera
Ab talaash karte hain, woh ghadiyaan , jo lagein
achchi
---x---
Yeh kaisi be basi un ki hai aur kaisi hai yeh majboori
Ke bharte thay hum dam jiska wo na milne do qadam aaye
---x---
Tere khayaalaat badal dete hain haalaat mere
Jab ho gi ru ba ru
tu ,to kya kaifiat hogi
No comments:
Post a Comment