Monday, July 20, 2015

kuch ashaar


Koi bhi ek sa hota nahin is Duniya mein
Sab ke apne alag hote hain andaaz yehan

---x---

Dikha ke dhaar ABR ki wo boond boond ruk gaye
Yeh kya tha ke kuch  hi pal  baras ke wo ruk gaye
----x---

Guzre thay kuch mahine par laga kai baras gaye
Ab phir se barasta dekhne paani ko  taras gaye

----x----

Wasie to kai gham hain , duniya mein hamaari
Par Maa ki judaayee ka dukh, sab pe hai bhaari

 
---x---

Mil jaata hai duniya mein nemul badal sab ke
Par Maa ki jegah koi bhi karta nahin poori

----x----

Waise hamein manzoor hain qudrat ke sab qanoon
Par  kaash  yeh  hota  ke  Maa  bachche  na  bichdte

----x----

Wo jo aane ka keh kar phir jo aana bhool jaate hain
Hamein un ko bulaane ke bahaane laakh aate hain.

No comments:

Post a Comment