wohi barsaat hai bambai wohi aur hain wohi khabrein
bas itna hai ke in mein kahein
ab hum nahin hote
----X----PHIRON
Ghareebon ka maal le kar gar dault badhegi
Maaro ge haq to Qudrat ki phir maar padegi
Koi na bacha hai yehan anjaam
se buray
Aayega woh ek din ke jab teri laash
sadegi
KAL KO KYA THA AUR AAJ DEKHO ,KYA SE KYA HUWA
HUM JO JEETE HAIN TO IS KE PEECHE HAI SAB KI DUA
---X---
Kabhi wahshat , kabhi nafrat, kabhi udaasi, kabhi
hasrat
kabhi khauf,kabhi khushi, kabhi chalke nami aur
mohabat
Kai kaam hain Aankhon ke karne
ke faqat dekhna nahin
Samajh mein aayega tujhko, jab tu samjhe ga yeh qudrat
----X---
Honge haseen nazaare wahan pe qudrat ke
Waadi-e-sehra ka manzar yehan pe bhi dilkash hai
---x---
Apna to horaha hai garmiyun mein guzaara
Aur wo Koh ki thandak mein din kaat raha hai
----x---
Bahut lateef sahi
Koh mein tera rehna
Magar takleef ke maze yehan aur hi hain
No comments:
Post a Comment