Wednesday, January 4, 2023

KUCH KARLEIN

 

Zindagi khushk ho chali usey Num karlien

 Khaak hone se  pehle  koi sanam  karlein 

 Maqsad koi haasil nahin tanha  jeene se 

 Aao mil baitho apna  ghalat gham karlein

 

"Tu" aur "main" ki zindagi ko "hum" karelein 

 Tanha jo uthaaye thay ghum woh kum karlein 

Haath se haath milega to milenge dil bhi 

Be chain si tabiat ko puraman karlein

 

Nayaab ulfaton ko jaari  har  dum karlein 

 Dushmanaane mohabbat pe ab sitam karlein 

 Fikr kis ki ,  jab koi khairkhwah hi nahin 

 Yeh soch ke apne hi aap pe  karam karlein

 

Jannat ke wajood ko qadam qadam karlein 

Har naaraazgi badal kar khush faham karlein 

 Aman o aamaan se rahe gi Dunia yeh 

Har uthne waale hathyaar ko qalam karlein

 

HAALAAT

 

Haalaat  aise  badle,  mere  hosh  udd gaye

Jis mod pe pohacna tha,  wo mod mudd gaye

Kadwi si ye zehrili hai,  kudhaati huwi  zindagi

Ab bas bhi kar zaalim ,hum bohut kuddh gaye

 

Aisa koi banda bata jo tujh ko khush lage

kar leta hai shikwah koi  ,  to koi chup lage

Bardaasht karne ki bhi ek hadd hai magar

Inayaton ki miqdaar zindagi mein kuch lage

 

Phaila huwa zamaane mein jo, woh dukh hi hai

Dhoonde se nahin milta kisi ko,  wo sukh hi hai

Naayaab ho chala hai ab saamaan sukoon ka

Mile agar kahin to lage wo  ke , kuch hi hai

 

 

Honton se hansi dil ki khushi sab hai kho chuki

Hona tha ojhal is ko to ek din woh  ho chuki

Karte hain yaad maut ko jaise ke hain bichde

Jitna rulaana tha tujhe ,  yeh  zeest ro chuki

 

 

Kehte hain hum Dunia jise, jahannum hi to hai

Honton pe hansi gum aur aankh, num hi to hai

Shamil hai har tarah ke dukh Adami ki go’d mein

Phir bhi kahe zamaana ke dekho  kum hi to hai