Tuesday, July 7, 2020

Ek azaad nazm- Aye Zindagi

            Ek azaad nazm

Aye Zindagi …. 



Samajh mein tu kisi ke na aayee hai  
Maqsad hai tera kya na kisi ne jaana

Na mila hai jawaab is sawaal ka ab tak 
Bataaye koi hamein ke zindagi kya hai ?

Kahin aqal ka ambaar liye phirti tu 
To kahin pagal si bebaak jiye jaati hai

Ghurorr se bhari akadti aur kabhi itraati 
To kahin inkasaari se bhari hoti hai

Kahin tadapti sisakti huwee tu hum ko dikhe
To kahin raqs se madhosh bhi nazar aaye 

Koi aajiz hai pareshaan hai tujhe paa ke
Kahin khushi aur muskurahaton mein jiye jaaye

Koi koshish kare tujh se panah lenay ki
Kahin shiddat se duaaon mein maangi jaaye 

Wo hawa ho khlaa ho, ho paani ya zameen
Kahan kahan hai tera wajood ye tu jaane

Koi bhi roop liye tu kahin par bhi jiye
Kahin yaksaaniyat tujh mein magar nahin hogi           

Kahin tu munjamid aur kare kahin harkat
Har ek paas hai mukhtalif teri muddat

Kahin pade pade hi tera dum niklay
Kahin chaltay chaltay hi tu chali jaaye 

Saturday, June 13, 2020

Current Situation

Lagta hai hum se Rab hai ab khafa hua

Dunia Ke har fard ka daaman phata hua

Maange se bhi na mile maafi ab hamein

Hum pe azaab apne  amal  ka ata huwa

 

Nuqsaan jaan o maal ka  kitna bata hua

Is daur ka har shakhs morid e khata hua

Hum  tamaasha been bane dekhte rahe

Mujrim ka jab gunaah hum ko pata huwa

 

Badmaash  koi to koi ghunda chata hua

Buraayee ka har zaban pe kalma rata hua

Pareshan se baithe hain sabhi bebas hain

Jin pe  ghroor ka suroor  tha data  hua 

 

Hai sharm ka munh pe se parda hata huwa

Maahol is zamaane ka hai ab ghuta hua

Koi kuch hai keh raha koi kuch hai kar raha

Sab ke khayal mukhtalif  har koi bata hua

 

 

On behalf of a friend who is missing his native after Lock down of the country due to CORONAVIRUS


Coronavirus ne  mujh se mera Gaon cheen  iya
Gunah kya tha mera,  badla kyun sangeen liya
Na ab taalaab ka deedar na manzar darya ka
Gaoon mein jis  ka maza  hum ne behtareen liya

 

Bridge ki baatein chatpati  zaban Shireen liya
Hamare khushiyun ke awqaat,pal ghamgeen liya
Nazar se door ab sab doston ka huwa Wajood
Zikr kya Gaon ka isne poora  mulk e Cheen liya

             

Baji Rao ka zikr , Shirazi ka khiraaj e tehseen liya
Masjid tak daud lagaate mulla ka  scene liya
Har ek  ki  khatakne  lagi hai ab kami hum ko
Cheenay Kai , hum samjhte thay bas do teen liya

 

Badha ke bezaari meri tabiat-e- shauqeen liya
Bechaini de ke mujhe, safar kashti ka haseen liya
Na baad e Saba aur na ab wo shaam suhaani
Deke kadwe pal, lamhe meethe wo namkeen liya

 

Dunia ne jo bhi liya qadam wo  Badtareen liya
Nekiyan chod ke saare Gunah ko been liya
Saza ab sab  ko mili hai to qusur kya ginye
Raah e mustaqeem ko choda dekho kya deen liya

 

 

 

Sunday, February 23, 2020

Zindagi aaj


ZINDAGI 

Zindagi jegah jegah se chtakhne lagi hai

Mustaqbil ki ‘soch ‘ bahekne lagi hai

Pal pal mein badal jaati hai raah is ki

Abhi seedhi si thi  ab bhtakne lagi hai

TAMMANNA 
Munjamid arzu bhi sarakne lagi hai
Khwahishon ki badri khisakne lagi hai
Bal na padta tha apne iraadon pe kabhi
Har hasrat  apni ab masakne lagi hai



BURAYEE

Daur e hazir mein burayee chamakne lagi hai
Lehje ki Badtameezi chahekne lagi hai
Chaaya hai be-adbi ka maahol  is qadar
Shaitaniyat khushi se ab matakne lagi hai

TANQEED 

Jo bhi tanqeed ho wo khatakne lagi hai 
Galay ki haddi  ye bankar atakne lagi hai
Ghussa aata hai un ko ye  sach dekh kar 
Koi ab kya kare unki ab satakne lagi hai 

Monday, January 6, 2020

POEM


Dil na chaahe agar to lagta hai har manzar bura
Zarkhaiz  jahan bhi   banjar  ki  tarah  lagta hai
Talkh  Kadwe bol  ya phir  nafrat ki nigah 
Aisa Var  teer o khanjar  ki  tarah lagti hai 

Pyaar mein aadmi ban jaata hai Hatim ki tarah
Dil  us ka  phir  Samandar  ki  tarah  lagta  hai

Jeet  leta  hai  mohabbat  se Jo  sab  ka  Dil
Pyar karne waala Sikandar ki tarah lagta hai

Dost  agar  saath  hon  to  raat  bhi  roshan  lage
Bina dost ke mahal bhi khandar ki tarah lagta hai