Coronavirus ne mujh se
mera Gaon cheen iya
Gunah kya tha mera,
badla kyun sangeen liya
Na ab taalaab ka deedar na manzar darya ka
Gaoon mein jis ka maza hum ne behtareen liya
Bridge ki baatein chatpati zaban Shireen liya
Hamare khushiyun ke
awqaat,pal ghamgeen liya
Nazar se door ab sab doston ka huwa Wajood
Zikr kya
Gaon ka isne poora mulk e Cheen liya
Baji Rao ka zikr , Shirazi ka khiraaj e tehseen liya
Masjid
tak daud lagaate mulla ka scene liya
Har ek ki khatakne lagi hai ab kami hum ko
Cheenay Kai , hum samjhte thay bas do
teen liya
Badha ke bezaari
meri tabiat-e- shauqeen liya
Bechaini de ke mujhe, safar kashti ka haseen liya
Na baad e Saba aur na ab wo shaam suhaani
Deke kadwe pal, lamhe meethe wo
namkeen liya
Dunia ne jo bhi liya qadam wo Badtareen liya
Nekiyan chod ke saare Gunah ko
been liya
Saza ab sab ko mili hai to
qusur kya ginye
Raah e mustaqeem ko choda dekho kya deen liya
No comments:
Post a Comment